Jammu: Berooni ilaaqoun ko Kashmir ke sath jodnay wali Srinagar Jammu qaumi shahrah haftay mein awaami traffic par do roza pabandi aur mousmi halaat ki wajah se basa auqaat band rehne ke nateejay mein ashyae zarori khaas tor par ashyae khord wo nosh ki qillat aur giran bazari ne ahliyan-e-waadi ke mushkilaat mein be tahasha izafah kardiya hai .
Shahrah band hotay hi yahan tamam ashyae zarori bil-khushoos ashyae khord nosh ki qeematein yakayak aasman ko choone lagti hain aur tarkariyan jo yahan ke markazi ghiza hai, sonay ki qeemat mein farokht ki jati hain yahan tak ke muqami sabzion jaisay saag aur palaak ki qeematein bhi dugna badh jati hain .
Shahrah ka band hona balkay shahrah band honay ki afwaah phailtay hi yahan sabzi farosh mutaliqa mehakmay ki taraf se jari narkh naamon ko sari sabzion ke bajaye kourdey daan ki Nazar karkay apni marzi ke mutabiq sabzion ki qeemat tey karte hain .
Baazaaron mein tamatar 80 rupiya fee kilo farokht kiya ja raha hai jo mamool ki qeemat se dugna hai isi tarha gobhi, aur band gobhi bhi 60 rupiya fee kilo bechi jati jo chand roz qabal 30 rupiya fee kilo dastyab thi. aalu, pyaaz, mooli, gaajar aur loki ki qeematein bhi dugna badh gayi hain aur yeh sabzian bhi baazaaron mein 30 se 40 rupiya fe kilo ki qeemat se farokht horahee hain .
isi tarha phaloun ki qeematein bhi aam shehri ke hadd istetat se bahar hain. kelay 100 rupaye fee douzen aur santre 180 rupaye fee douzen ke hisaab se farokht kiye jarahay hain jo mamool ki qeemat se bohat ziyada hai. papeeta 80 rupay fe kilo , tarbooza 60 rupay fee kilo , kharboza 80 rupay fee kilo aur aanar aur seb 150 rupay fee kilo aur 200 rupay fee kilo bal tarteeb ke hisaab se bazaaroun mein dastyab hain .
Gosht aur chicken, jiske ahelyan Kashmir kuch ziyada hi shouqeen hain, nayaab hi hain ab agar kahin moujood hai to gosht 500 rupay fee kilo aur chicken 160 rupay fee kilo ki qeemat se dastyab hai jis ko khareedna ek aam mazdoor ke liye ek aisay sang giran ko uthany ke barabar hai jis se is ki kamar tootna yakeeni hai. yahan muqami farms se bhi chicken sarbarah kiye jatay hain lekin un farms ke maalkin aur is tijarat se judey log bhi is mouqay ko haath se jane ko sab se badi be waqoofee samajte hain aur awam ko do haath lootney mein koi kasar baqi nahi chodhte hain. taham agar yahi rujhan jari raha to May ke pehlay haftay se shuru honay walay mahe mubarak ramadaan ke douran logon ke mushkilaat mazeed paicheeda honge. Mohammad Ashraf Nami ek darja-e-chaharum ke sarkari mulazim ne sabzion ki qeematon ke be tahasha izafay ke baare mein kaha ke agar yahi sorat e haal jari rahi to sabzian khareedna mushkil hi nahi balkay namumkin banjayega, aisa lagta hai tarkariyoun ki qeemat ko qaboo mein rakhnay ke liye na koi qanoon hai aur na kisi mehakmay ka wujood hai .
Zahoor Ahmed Nami ek executive officer ne mutaliqa hukkaam ko morad ilzaam thehrate hue kaha eid-ul-fitar ke baad hi waadi mein shadioun ka season shuru hoga aur yahan gosht aur chicken ko na qabil-e-yaqeen qeematon par farokht kiya ja raha hai lehaza hukoomat ki zimma daari hai ke woh khilaaf warzi ke murtakibeen ke khilaaf karwai karkay dono ashiya ki qeematoun ko qaboo mein rakhen aur sarkari narkh naamon ke mutabiq unki farokht ko yakeeni bananay ke liye fori iqdaam karen .
Darin-e-asna Parampura fruit mandi ke ek sabzi dealer Mohammad Maqbool ne kaha hai mein ne Dehli mein 16 April ko papeeta, aam, amrood, tarbooza jaisay phalon ke 6 truck book kiye they aur umeed thi 18 ya 19 April tak yeh truck yahan pahonch jayenge lekin Udhampur mein yeh truck 24 April tak darmandah rahay aur ab 6 mein se teen hi truck yahan pahonch gay aur un bharay phal ziyada tar sadh chuke hain .
Unhoun ne ilzaam aed kiya ke Udhampur mein Tool ohdedar tab tak gadiyon ko Srinagar ki taraf rawana honay ki ijazat nahi dete hain jab tak na inhen rishwat nahi di jati hai. jab Mohammad Maqbool ko sabzion aur phaluon ki qeematon mein izafay ke baare mein poocha gaya to unhon ne kaha jab ashiya kam aur maang ziyada hoti hai to qeematein badh hi jati hain hum aisa jaan boojh kar nahi karte hain .
Unhoun ne kaha ke mukhtalif bahanoun par shahrah ke band rehne se hamari tijarat bhi tabah horahee hai, Kashmir ki tajir baradri ko be thaasha nuqsaan se dochar hona padta hai, hum ne aisay sakht din pehlay kabhi nahi dekhe hain .– YTN STAFF