Srinagar: Article 370 ki barkhastgi ke baad se Wadi-e- Kashmir mein halaat musalsal kharab hai aur aaye din halaat mein behtari nah honay se kayi ek khadshaat paye jarahay hain aur ab to zayed security forces ko tainaat karne se mazeed khadshaat paeda hue hain.
Markazi hukoomat ki taraf se 5 august ko jammu Kashmir ke mutaliq faislon se paeda shuda sorat-e-haal ke douran Wadi-e-Kashmir mein naye security forces bunkers ka jaal bichana shuru hogaya hai.
Waadi bilkhushoos garmayi dar-ul-hakoomat srinagar mein guzashta teen hafton ke douran do darjan se zayed jaghon par security forces ke naye bunkers qaim kiye gaye hain.
Srinagar ke civil lines mein Jahangir chowk flyover ke neechay security forces nay apna ek bunker qaim kiya hai. srinagar mein kirannagar, Radio Kashmir , Haider pura, mahjoor nagar, brain nishat, sameit mutadid jagahoun par bhi security forces nay naye bunker taamer kiye hain. iske alawa darjanon muqamat par security forces wo reyasti police nay apne arzi pact qaim kiye hain. mossola it-tila-aat ke mutabiq waadi ke deegar 9 azlaa mein bhi kahin pukhta to kahin arzi bunker taamer kiye gaye hain. un mein se beshtar bunker central reserve police force ki taraf se qaim kiye gaye hain.
Muqami awam nay naye bunkaron ki taamer par mayoosi ka izhaar karte hue kaha hai ke ek taraf hukoomat halaat mein behtari ka daawa karti hai to doosri taraf naye bunkers ki taamer ka silsila taizi se jari hai.
Naye bunkers ki taamer se muqami logon ke liye naye khatraat paeda hue hain. waadi mein naye bunker kyun taamer kiye jarahay hain is ki tafseelaat faraham karne ke liye mawaslati pabandi ki wajah se kisi bhi security ohdedar se rabita nahi kiya jaska.
Yaad rahay ke article 370 barkhast karte hue Kashmir ki khud mukhtari ko na sirf khatam kardiya gaya hai balkay is ke do hissay karte hue usay markaz ke zair-e-intizam ilaqon mein tabdeel kardiya gaya hai. –YTN STAFF