Monday, April 29, 2024
HomeIndiaKashmir mein rehnumaoun ko hirasat mein rakhnay aur Internet pabandi par America...

Kashmir mein rehnumaoun ko hirasat mein rakhnay aur Internet pabandi par America ka izhaar tashweesh

Washington : Amrici mehakma-e-kharja ne Jammu wo Kashmir mein muqami rehnumaoun ko hirasati tehweel mein lenay aur Riyasat mein internet pabandi par tashweesh ka izhaar kiya hai.

Amrici mehakm-e-kharja ke junoobi aur wasti asiayi umoor ke bureau ( SCA) ne tweet kiya ke Hindustan mein Amrici safeer kainth juster aur deegar ghair mulki sifarat karon ke jammu wo Kashmir ke douray par kadi nazar rakhay hue hain. bureau ne tweet kiya ”ham rehnumao aur rehaishion ki tehweel aur internet par pabandi ke baarey mein fikarmand hain. hum tawaqqa karte hain ke halaat mamool par ayenge.

Haal hi mein, 15 mumalik ke sifaratkaron ke wafad ne jammu vo kashmir ka doura kiya tha. is douran unhon ne kashmiri panditon se mulaqaat ki. wafad jammu ki sab se badi be-ghar colony, jagti camp pohancha. Be-ghar afraad ne wafad se Kashmir ko dehshat gardi se pak karne ka mutalba kiya taakay Kashmiri pandit ek baar phir riyasat mein wapas aa saken.

Wazeh ho ke, Supreme court ne jammu wo Kashmir se article 370 ko hataney ke baad internet pa pabandi aur lock down ke khilaaf dair darkhwaston par guzashta jummay ko samaat ki. justice NV Ramna , justice subhash reddy aur justice BR gawai ke mushtarqa bench ne samaat ki. justice Ramna ne faisla padh kar masla Kashmir ki khubsurti ka hawala dete hue kaha ke Kashmir mein bohat ziyada tashadud dekha gaya hai.

Internet par pabandi muamlay par justice ramana ne kaha ke internet azaadi izhaar aur article 19 ke tehat aata hai. ye azaadi izhaar raye ka zareya bhi hai. Internet ko band karna adalti jaizay ke dairey mein aata hai, jammu wo Kashmir mein tamam pabandion par ek haftay ke andar jaiza liya jana chahiye. aur jahan Zaroorat ho Internet ko fouri bahaal karna chahiye. Riyasat mein shehrion ke huqooq aur salamti ko mutawazan karne ki koshishen jari hain. –YTN STAFF