Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaKashmir mein mazeed 4 zair hirasat siyasi rehnumao ko reha kar diya...

Kashmir mein mazeed 4 zair hirasat siyasi rehnumao ko reha kar diya gaya

Srinagar: Jammu o Kashmir intizamia ne qaidyoun ko reha karne ke silsilay ke tor par jummay ke roz ek sabiq wazeer sameit 4 sabiq erkaane Assembly ko reha kar diya gaya. Wo 5 August se hi nazar band they, Jab markaz ne Article 370 ko mansookh karkay riyasat ko 2 markazi ilaaqoun mein taqseem kar diya tha. Reha kiye jaane walay charoun rehnumao mein, Haji Abdul Rasheed, Nazir Ahmed Gurezi, Mohammad  Abbas Wani aur sabiq wazeer  Abdul Haq Khan shaamil hain.

Jumaraat ke roz 5 siyasi rehnumao ko reha kiya gaya, Jin mein National Conference ke qayed Altaf Kaloo, Showkat Ganaie aur Salman Sagar, Aur peoples Democratic Party ( PDP ) ke rehnuma Nizamuddin Bhat aur Mukhtar Bandh shaamil hain. Salman Sagar  Srinagar Municipal Corporation ke sabiq mayor  hain.

Wazeh rehay ke maz warah charoun rehnumao ki rehahi ke baad, Is waqt waadi mein 21 qaideen zair hirasat hain, Un mein 3 sabiq wazraye aala. Farooq Abdullah , Omar Abdullah aur Mehbooba Mufti shaamil hain.

Farooq Abdullah ko sab jail ke naamzad Srinagar ke Gupkar Road par waqay un ke ghar mein rakha ya hai. Omar Abdullah ko Hari Niwas aur Mehbooba Mufti ko Srinagar ke Maulana Residency road ke sarkari bungalow  mein hirasat mein rakha gaya hai.

Pichlle saal November mein markazi edhaaray mein shaamil kul 35 siyasat daano ko Srinagar ke Hotel  Centaur se shehar ke MLA hostel le jaya gaya tha. Guzashta jummay ko Justice  N.V. Ramana  ki sarbarahi mein Supreme Court ke ek bench ne markazi khittay ki intizamia ko 161 din se ziyada ke liye Jammu o Kashmir mean jari tamam sikshnoun ka jaiza lainay ka hukum diya tha. –YTN STAFF