Sunday, April 20, 2025
HomeExclusiveKashmir mein khangi taleemi idaray nasabi mawaad ki taqseem mein masroof, walidain...

Kashmir mein khangi taleemi idaray nasabi mawaad ki taqseem mein masroof, walidain pareshan

Srinagar : Waadi-e-Kashmir mein zayed az dhai mah se taleemi sargarmia lagataar mutasir rehne ke baad jahan ek taraf intizamia ne  college satah tak taleemi idaray kholnay ke aalanat kiye to doosri taraf khangi taleemi idaron ke zimmedaaroun ki taraf se talba ko dars wo tadrees ke liye taleemi idaron mein haazir honay ke bajaye khaas waqt ke douran nasabi mawaad haasil karne ke liye muqami akhbaron mein ishtiharaat jari karne  ka silsila jari hai.

Yaad rahe ke waadi mein guzashta zayed az dhai mah se maloomat zindagi buri tarha se mutasir hain. intizamia ki taraf se college satah tak taleemi idaron ke kholnay ke aalanat fil-waqt mehez aalanat hi saabit hue hain kyunkay taleemi idaron mein amlah haazir to rehta hai lekin talba classrooms mein kahin nazar nahi atay hain. Mohammad Raees Nami ek waalid ne  kaha ke mein rozana muqami akhbaron mein school intizamia ki taraf se bachon ko school bhejnay ke bajaye khaas waqt ke douran unke liye nasabi mawaad haasil karne ke ishtiharaat dekhta hon.

Unhon ne  kaha mein roz jab subah saweray akhbar haath mein leta hon to is mein mukhtalif khangi schoolon ki taraf se bachon ko school bhejnay ke bajaye un ke liye nasabi mawaad haasil karne ke liye ishtiharaat ki bhar maar hoti hai jab ke intizamia ne  school kholnay ka elaan kiya hai aur woh ishtiharaat mein walidain ko muqarara school auqaat ke bajaye subah 10 bajey tak school pohanchanay ki Hidayat hoti hain. Ek Maroof khangi taleemi idaray mein zair-e-taleem muqtadi mehdi Nami ek taalib-e-ilm ne  kaha ke jab intizamia ne  school kholnay ka elaan kiya tha to mein pareshan hua lekin baad mein jab aglay roz apne school ki taraf se ishtihar dekha jis mein school anay ke bajaye nasabi mawaad haasil karne ko kaha gaya tha to mein khush hua kyunkay kam se kam school nahi jana tha.

Taham Shabir Ahmed Nami ek waalid ne  kaha ke school intizamia ki taraf se nasabi mawaad tayyar karna ek fuzool mashq aur rupay ainthne ka ek zareya hai. unhon ne  kaha tamam taleemi idaray naye classe ke waqt hi har ek taalib-e-ilm ko ek nasabi copy bhi achi qeemat padh dete hain jis mein final imthehaan tak nisaab muqarrar hota hai aur isi ke mutabiq imthehaan liye jatay hain yahan school band hue to phir alag se nasabi mawaad dainay ki kiya zaroorat hai ye meri samajh se bahar hai, mera maanna hai ke yeh ek fuzool mashq hi nahi balkay walidain se paise ainthnay ka ek aur zareya hai.

Mohammad Afaq Nami ek waalid ne kaha ke school walay nasabi mawaad ki copies ko kaafi mehngay damon farokht karkay maal kamate hain. unhon ne  kaha mai jab apne bachay ke liye nasabi mawaad ki copy laane ke liye school gaya to iska hajam bohat hi kam tha lekin jab is ki qeemat bataaye gayi to is raqam mein ek Zakheem kitaab kharidi ja sakti hai. Afaq Ahmed ne  kaha ke bacha jab nai jamaat mein dakhla laita hai to is waqt bhi ek nasabi copy kitabon ke sath di jati hai aur ab school band honay ki soorat mein nasabi mawaad diya jata hai jis ke maqasid wo fawaid ko samajhnay se mein qassar hon. –YTN STAFF