Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaKashmir mein Internet par pabandi se 5 lakh afraad be rozgaar, 3...

Kashmir mein Internet par pabandi se 5 lakh afraad be rozgaar, 3 Arab Dollars ka nuqsaan

Srinagar: BJP hukoomat ki janib se 5 August ko Kashmir ke khusoosi muaqqaf ko khatam karne aur Internet par pabandi aed karne ki wajah se Kashmir aur yahan ke bashindoun ko jin masail ka saamna karna padh raha hai wo na qabil bayan hai aur sirf Internet par pabandi se lakhoun afraad ko apna rozgaar ganwana pada hai. Kashmir mein guzashta saal 5 August se nafiz pabandioun ke baais ab tak kaarobar mein 2 Arab 40 crore Dollar ka nuqsaan huva hai, Jis mein sab se ziyada wo sanaten mutasir hui hain jin ki aamdani ka inhisaar Internet par hai.

Kashmir Chamber of Commerce and Industry ke naib sadar Abdul Majid ke bamujab aaj ke daur mein Internet ke baghair tijarat karna namumkin hai aur waadi mein Internet par aed pabandi ki wajah se Crores nahi Arboun Dollars ka nuqsaan ho raha hai. Kashmir Chamber of Commerce and Industry ke adaad o shumaar ke mutabiq ab tak 5 lakh afraad apni mulazimtoun se haath dho baithy hain aur muaashiyat ko naqablِ talaafi nuqsaan huva hai.

Aalmi Digital Rights Group Access Now ke asia policy director Raman Jit Singh Chima ne kaha hai ke Kashmir mein Internet ki bandish ka asar zaati taluqaat se le kar tibbi sahuliyaat sab par huva hai. Un ka maanna hai ke dehshat gardi se bachney ke liye poori abadi ko saza dena ek ghair mamooli iqdaam hai.

Is baray mein wazarat it-tila-aat ka muaqqaf jan-nay ki koshish ki gayi lekin kisi ne jawab nahi diya. Wazeh rahay ke guzashta saal 5 August ko hukoomat ne Kashmir ki khusoosi aayeni hesiyat khatam ki thi. Hukoomat ne kaha ke ye iqdaam Jammu o Kashmir ku Hindustan mein zam karne aur riyasat ki taraqqi ke liye ahem hai.’ Taham muqami afraad ne kaha hai ke ab tak taraqqi ke lehaaz se koi kaam nahi kiya gaya.

Kashmir mein ek courier company ke bahar khaday 2 afraad ne media numainday se izhaar khayaal karte hue kaha ke Internet na honay se hamein package ke order nahi atay. Tauseef Ahmed ne kaha hai ke sirf hum dono ab daftar atay hain kyunkay takreeban 50 ladkoun ki mulazimat khatam ho chuki hai. Agar Internet jald bahaal nahi kiya gaya to mein bhi apni mulazimat se haath dho sakta hon.

Internet ki bandish ne Kashmir ki ek aisi sanat ko bhi mutasir kiya hai jo kayi dahaiyo se is khittay ki muaashiyat ki reerh ki haddi maani jati hai aur wo shoba sayahat bhi hai. Har saal Hindustan bhar se loog barf se dhake pahodoun ka nazarah karne Kashmir ka rukh karte hain. Dal jheel ki kashtiyan bhi logoun mein kaafi maqbool hain.

Taham Kashmir shikara Association ke sadar Basheer Ahmed Sultaani ne kaha hai ab 4 hazaar se zayed mallaahoun ke liye koi kaam hi nahi hai. Mohammad Shafi nami malah ne kaha hai ke hum bohat buray waqt se guzar rahay hain. Hum mein se kuch to apne ghar waloun ke liye 2 waqt ki rootti ka intizam bhi nahi kar paate. –YTN STAFF