Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaKashmir mein imtehanaat ki tawareekh ke elaan se talba haeran wo pareshan

Kashmir mein imtehanaat ki tawareekh ke elaan se talba haeran wo pareshan

Srinagar : Waadi-e-Kashmir mein guzishta 2 mah se jari namsaad aur ghair yakheeni sorat-e-haal ke baais taleemi idaron mein taleemi sargarmia mo-attal rehne ke bawjod jammu Kashmir board of school education ne 10th  aur 12th jamaaton ke salana imtehanaat ke liye tawareekh ka elaan kardiya hai.

Board of school education ki taraf se jummay ke din waadi ke roznamoun mein mushtahir tawareekh ke mutabiq 10th jamaat ke imtehanaat mah rawan ki 29  tareekh se shuru hokar mah November ki 16 tareekh ko khatam honge jabkay 12th jamaat ke salana imtehanaat mah rawan ki 30 tareekh se shuru hokar mah November ki 28 tareekh ko ekhtataam Pazer honge.

Yaad rahay ke mutaliqa hukkaam ke mutabiq amsal 10th  jamaat ke 65 hazaar jabkay 12th jamaat ke 48 hazaar talba salana imtehanaat mein shirkat kar rahay hain. hukkaam ne kaha hai ke 10th jamaat ke imtehanaat ke ineqad ke liye 1506 marakaz jabkay 12th jamaat ke imtehanaat ke ineqad ke liye 433 marakaz ka qiyam amal mein laya gaya hai.

Doosri janib dono jamaaton ke talba aur walidain ne mutaliqa mehakma ki taraf se imtehanaat ke ineqad ke liye jari tawareekh par hairat ka izhar kiya hai. 10 jamaat ki ek Taliba ne apna naam zahir nah karne ki khwahish par kaha ke board ki taraf se jari kardah tawareekh se hum haerat mein padh gaye hain aur hamari zehni pareshani mein mazeed izafah bhi hua.

Unhon ne kaha mai ne aaj subah jab akhbar mein imtehanaat ke liye board ki taraf se jari elaan dekha to mein haeran bhi hogayi aur meri zehni pareshani mein mazeed izafah bhi hogaya, hum ne nisf se bhi kam nisaab mukammal kiya hai, imtehani parchey kaisay honge kitney nisaab par mushtamil honge hamein kuch bhi maloom nahi hai.

Ek aur taalib ne kaha ke mein haeran hon ke hum imthehaan kiska denge aur kis tarhan denge. board ne hamaray salana imtehanaat ke liye tawareekh ka elaan kardiya hai, yeh theek baat hai lekin hum 2 mah se lagataar gharon mein muqeed hain, nisaab ka nisf hissa bhi mukammal nahi kiya gaya hai, ab mein haeran hon ke hamein imthehaan kitney nisaab ka dena hai aur imthehaan denay ke liye jana bhi mojooda halaat mein ek mushkil baat hai kyunkay awaami zaraye hamal naqal sadkon se gayab hai. 12 jamaat ke ek science ke taalib-e-ilm ne kaha ke hum ne abhi practical bhi nahi kiye hain nisaab ka nisf hissa bhi mukammal nahi hua hai aur board ne imtehanaat ke tawareekh ka elaan kardiya hai.

Mohammad shabaan Nami ek waalid ne board ki taraf se 10 aur 12 jamaat ke imtehanaat ke tawareekh jari karne ke hawalay se kaha ke yeh waadi mein halaat ko bator-e-mamool pesh karne ki ek koshish hai. board walay bakhoobi jantay hain ke yahan 2 mah se taleemi sargarmia mo-attal hain aur talba gharon mein hi baithe hain lekin unhon ne tawareekh yeh dikhaaney ke liye jari kiye ke yeh yahan halaat mamool ke mutabiq hain.

Qabil-e-zikar hai ke waadi mein guzishta 2 mah se taleemi sargarmia mo-attal hain agarchay intizamia ne college satah tak taleemi idaray kholnay ke elanat kiye lekin taleemi idaron mein amlah to rehta hai lekin talba kamray jamaat mein dikhayi nahi dete hain. –YTN STAFF