Srinagar : Waadi Kashmir mein mawaslati nizaam par jari pabandi ke baais E-commerce tijarat thap honay se senkdon noujawan rozi roti se mehroom hogaye hain.
E-commerce se mutaliq Websites jaisay Amazon, flipkart, Myntra waghera 5 august se internet par aaed pabandi ki wajah se mukammal band hain jis ke nateejay mein is tijarat ke sath wabasta senkdon log be-rozgaar bhi hogaye hain aur internet ki bahaali ki koi soorat nazar nah anay ke baais mukhtalif zehni bimarion ke shikaar bhi ho rahay hain. Suroor Ahmed Nami ek nojawan ne kaha ke mein Flipkart ke sath kaam karkay rozi roti kamata tha lekin guzashta 2 maah se be-car hon.
Unhon ne kaha ke Flipkart ke sath kaam karkay apni rozi kamata tha jis se mujhe apna kharcha bhi nikalta tha aur ghar ka kharcha bhi lekin 2 mah se yahan internet band hai lehaza hamara kaam bhi band hai kyunkay hamara kaam internet par hi munhasir hai, mein guzashta 2 mah se ghar mein baetha hon, bilkul be-rozgaar hon. mushtaq Ahmed Nami ek nojawan jo E-commerce ke sath wabasta hai, ne kaha ke hamara kaam band honay se hamara rozgaar band hua hai. internet band honay se hamara kaam bhi band hogaya hai aur hum faqa-kashi ke dhanay par pohanch gaye hain, hamara na hi company walon ke sath rabta hai aur nah hi gahkon ke sath koi rabta hai, rabta munqita honay se hamara rozgaar bhi munqita hua hai.
Mushtaq Ahmed ne kaha ke agar ab yahan koi kahin se internet ke zariye E-commerce ke wastay koi cheez kharidata bhi hai to pata jammu mein muqeem kisi rishtedaar ka deta hai aur phir wahein se is cheez ko lata hai. Mohammad Hussain Nami ek nojawan ne kaha ke E-commerce ke zariye mein ne kayi kitaaben kharidi lekin internet band honay se nah un sites par dastyab kitabon ka pata chalta hai aur nah hi hum khareed sakte hain. unhon ne kaha mein ne E-commerce ke zareya kayi kitaaben nah sirf mutabar qeematon par kharidi balkay woh kitaaben yahan market mein nayaab bhi theen, mujhe mazeed kitaaben kharidni theen lekin internet band hone ke baais na hi mujhe yeh maloom ho raha hai ke aaya woh dastyab bhi hain ya nahi aur na hi khareed sakta hon kyunkay phir yahan un sites ke sath kaam karne walon ke sath rabta hi nahi hoga.
Mohammad Hussain ne kaha ke mein ne ek ahem kitaab mangwayi thi lekin phir 5 august ko jab internet band hua to yeh bhi maloom hi nahi hua ke woh kitaab yahan pohanchi bhi thi ya nahi.
Waadi mein mawaslati nizam par jari mukammal pabandi ke baais ahliyan waadi amazon aur flipkart ki E-commerce ki festive sales se mustafeed honay se mehroom reh gaye hain. mawaslati nizam par jari pabandi par izhaar-e-mayoosi wo ranj karte hue ahlyan waadi ne kaha ke internet par jari pabandi ki wajah se woh un E-commerce sites se faida uthany se qassar hain.
Qabil-e-zikar hai waadi mein 5 august se mawaslati nizam par jari mukammal pabandi ke baais kashmirion ko mushkilaat wo masail darpaish hain, talba, tajir aur awam ke mushkilaat har guzarte din ke sath mazeed sangeen horahay hain agarchay intizamia ne land line service ko bahal kiya hai lekin is se logon ko darpaish mushkilaat wo masail mein koi khaas farq waqay nahi hua hai. –YTN STAFF