Monday, April 29, 2024
HomeIndiaKashmir mein Coronavirus se pehli mout, 65 sala shakhs ne Indonesia ki...

Kashmir mein Coronavirus se pehli mout, 65 sala shakhs ne Indonesia ki jamaat mein shirkat ki thi

Srinagar: Waadi Kashmir mein coronavirus ke baais pehli mout huvi hai aur mahlook shakhs jis ki omar 65 baras bateye jarahi hai, Srinagar ke Delhi Gate ilaqay mein waqay dawakhane baraye amraaz seenah mein zair e ilaaj they. Mahlook shakhs coronavirus ke ilawa Sugar, High Blood Pressure aur motapay ka shikaar they. Srinagar ke muzafati ilaqa Hiderpura ke rehne walay mahlook shakhs tableeghi jamaat ke sath wabsta they aur unhoun ne Indonesia aur Malaysia mein honay walay tabliighi ijitmaat mein shirkat ki thi. Wo wahan se wapsi par nai Delhi , Uttar Pradesh aur Jammu mein thehray they.

Shumali Kashmir ke zila Bandipura mein jin 4 afraad ke Coronavirus Test guzashta roz misbet aeye hain, Un ke mahlook shakhs ke sath qareebi rawabit they aur panchoun ney ek sath mazhabi ijitmaat mein shirkat ki thi. Ek muqami khabar-rasan Agency ne Doctoron ke hawalay se kaha hai Coronavirus se mutasirah shakhs ki mout jumaraat ki subah waqay huvi. Un ko dil ka dora pada aur hamari sakht koshisho ke bawajood wo dam todh gaye. Wo Sugar, High Blood Pressure aur motapay ka bhi shikaar they.

Darin asna Jammu o Kashmir hukoomat ke tarjuman Rohit Gansal ney waadi mai Coronavirus se pehli halakat ki tasdeeq kar di hai. Unhoun ne apne ek Twit mein kaha buri khabar: Coronavirus se pehli mout, Hiderpura Srinagar se talluq rakhnay wala 65 sala shehri chal basa. Is ke raabtey mein anay walay 4 logoun ke Coronavirus Test misbet paye gaye. Jammu o Kashmir mein ab Coronavirus ke misbet mamlaat ki tadaad das hai jin mein se 3 ke baray mein bataya ja raha hai ke wo sahet yab ho chuke hain. – YTN STAFF