Friday, May 17, 2024
HomeIndiaKashmir mein collegeon ke arzi Lecturers 5 ma se tankhwahoun se mehroom

Kashmir mein collegeon ke arzi Lecturers 5 ma se tankhwahoun se mehroom

Srinagar : Waadi-e-Kashmir ke collegeon mein arzi bunyadoun par tainaat lecturers ke mutabiq adalti ehkamaat sadir honay ke bawajood bhi wo guzishta 5 mahino se tankhwahon se mehroom hain jiske baais jahan ek taraf unka afraad khandan faqa kashi ke dhanay par hai to doosri taraf samaaj mein bhi inhen tauheen wo tazheek ka saamna karna padh raha hai.

Contractual lecturers ney jammu Kashmir ke lieutenant governor Girish Chandra Murmu aur Jammu Kashmir high court ki khatoon cheif justice justice geeta mittal se mudakhlat karne ki appeal ki hai.

Lecturers ke ek group ney ko apni rudaad bayan karte hue kaha adalat ney hamari tankhwahin wagzar karne ke ehkamaat sadir kiye hain lekin iske bawajood bhi hum guzashta 5 mah se tankhwahon se mehroom hain jiske baais hamara Ayal faqa kashi ke dhanay par hai aur hamein samaaj mein bhi tauheen wo tazheek ka saamna karna padh raha hai. Ek lecturer ney apna naam makhfi rakhnay ki khwahish zahir karte hue kaha ke tankhwahon ki waguzari ke liye hamein bataya jata hai ke aala hukkaam ki taraf se tankhwahin vagzar na karne ki Hidayat hain.

Hum aala taleem ki khidmat mein barsha baras se masroof hain apni tamam tar zahanat wo salahiyatoun ko browe car lakar talba ko taleem ke day rahay hain lekin jab hum tankhwahon ki wagzari ke liye principal Sahiban ki taraf rujoo karte hain to hamein bataya jata hai ke aala hukkaam ki taraf se Hidayat hain ke tankhwahin vagzar na ki jayen. lecturer ney kaha ke is silsilay mein jab hum kisi tehreeri hukum naame ka mutalba karte hain to woh tehreeri hukum nama paish nahi karte hain balkay kehte hain ye zabani Hidayat hain. Ek aur lecturer ney kaha ke zindagi ke behtareen saal aala taleem ki khidmat ke liye waqf karne ke baad hamara rozgaar muallaq hai.

Hum kayi barsoun se lagataar aala taleem ki khidmat karte hain hum se kayi aisay bhi hain jo guzashta bees barsoun se kaam kar rahay hain lekin hamara rozgaar musalsal pareshan kin hai aur hamein nokriyoun se be-dakhal karne ko kaha jata hai, hamari barsa baras ki khidmat ka yahi sila hai ke hamein is waqt nikala jaye jab hum na ghar ke rahenge aur na ghaat ke. jis college mein hum fakhr se jatay they isi mein sir neechay karkay chalna padta hai. unhon ney kaha ke hamari paanch mah se ruki tankhwahon ke baais hamaray mushkilaat mein izafah hogaya hai. 5 mah se tankhwahin band hain hamaray paas ghar ka guzara chalanay ke liye koi dosra mutabadil zareya nahi hai jis ke nateejay mein Ayal faqa kashi ke dhanay par hai aur dukandaar bhi mazeed udhaar dainay se ijtinab hi karte hain. YTN STAFF