Monday, May 6, 2024
HomeIndiaKashmir mein ab ATM card bhi band, awam ko ek aur pareshani

Kashmir mein ab ATM card bhi band, awam ko ek aur pareshani

Srinagar : Wadi-e-Kashmir mein SMS aur internet khidmaat ki muatali ke baad state bank of India ( SBI ) ke puranay ATM card achanak band honay se hazaron log ATM ke zariye paesey na nikalne ke baais shadeed mushkilaat mein mubtala ho kar gharelo kharcha jaat ki bhar payi ke liye qarz aur udhaar lene par majboor hue hain.

SBI ney apne gahkon ko naye aur chip walay ATM card faraham kiye hain aur puranay ATM cards ko  RBI ki Hidayat ke tehat marhala waar band karne ka silsila shuru kiya hai lekin khatay daaron ki badi tadaad ab tak puranay ATM cards ko hi istemaal karte they.

Daren asna mutasireen ney mutaliqa hukkaam se waadi mein SMS aur internet khidmaat ki muatali ke paish-e-nazar puranay ATM cards ko bahaal karne ki appeal ki hai. Mohammad yasin Nami ek shehri, jo SBI ki ek branch ka account holder hai, ney kaha ke waadi mein internet ki muatali ke sath ab SBI ney puranay ATM card band kiye hain jis se hazaron logoun ko mushkilaat ka saamna karna padhraha hai.

Unhon ney kaha SBI ney waadi mein puranay ATM card uss waqt band karne shuru kiye hain jis waqt yahan internet aur SMS  services mo-attal hain, hum naye ATM cards ko kaam mein laane se qassar hain kyunkay iske liye mobile phone par message service ka hona laazmi hai taakay OTP haasil karkay PIN  maloom kiya jasakay.

Unhon ney mazeed kaha ke Pin Generate kiye baghair naye ATM card chal nahi sakte aur PIN generate karne ke liye SMS service ka hona zurori hai. mudassar bukhari Nami ek shehri ney kaha ke mein ney naye ATM card ko abhi istemaal mein nahi laya tha balkay puranay card ko hi istemaal karta tha. mere paas naya chip wala ATM card bhi hai lekin mein puranay card ko hi istemaal karta tha ab purana card band hogaya hai aur naye ka PIN maloom nahi hosakta jis wajah se mein pesey nikaal nahi saka aur phir mein ney apne ek dost se chand hazaar rupay qarz liye taakay fi l-waqt ghar ka kharcha chala ney ki rasta ban sakay.

Awam ney kaha hai ke SBI ke ohdedar is silsilay mein koi madad karne se saaf inkaar kar rahay hain. Mohammad jamal Nami ek gahak ney kaha ke bank walay is silsilay mein koi madad karne se saaf inkaar kar rahay hain. unhon ney kaha mein ney jab SBI ke ek ohdedar se is muamlay mein madad karne ko kaha to unhon ney mujhe paesey nikaalte ke liye fil-waqt paas book istemaal karne ka mashwara diya aur message service bahaal honay tak intezaar karne ko kaha.

Ek gahak ney kaha ke call center walon ney bhi is silsilay mein koi madad karne se inkaar kiya. mein ney is silsilay mein call center ke sath rabita kiya lekin unhon ney bhi is muamlay mein koi madad karne se saaf inkaar kiya. Shabir Ahmed Nami ek gahak ney kaha ke purana ATM card band honay ke baais mujhe paas book dhondhna padha. purana ATM card band honay ki wajah se mujhe paas book dhondhna padha aur phir jab mein paesey nikaalte bank par gaya to mere dastakhat mil nahi kha rahay they kyunkay mein dastakhat karna bhool gaya tha.

Mutasireen ney mutaliqa hukkaam se appeal ki hai ke puranay ATM cards ko waadi mein internet aur SMS khidmaat ki bahaali tak band na karen aur jin ATM cards ko band kiya gaya hai inhen mawaslati khidmaat bilkhushoos SMS service ki bahaali tak bahaal karen. –YTN STAFF