Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaKashmir mein aabi zakhair musalsal munjamid, awam ki jheeloun par chehal qadmi

Kashmir mein aabi zakhair musalsal munjamid, awam ki jheeloun par chehal qadmi

Srinagar: Waadi-e-Kashmir mein Record mehakma mousmiyat ke ilaqai naazim sanam lotus ke mutabiq waadi Kashmir mein 21 January tak mausam khushk rehne ki tawaqqa hai. Unhon ne kaha ke waadi mein aanay walay din ke douran darja-e-hararat mein Mamooli behtari waqay honay ki umeed hai. Waadi Kashmir mein mausam khushk bhi raha aur din mein halki dhoop bhi chhai rahi taham darja-e-hararat musalsal nuqta injmaad se neechay darj honay se shehar wo gam ke aabi zakhair munjamad hain aur nalon mein bhi pani jam gaya hai.

Garmayi darulhukoomat sri nagar ko subah ke waqt gehri dhund ki chadar ne apni lapait mein liya tha jis se roshni mein kami waqay hui thi. Aabi zakhair munjamid honay se awam ko pani ki shadeed qillat ka saamna hai. Khawateen ko peenay aur khana pakanay ke liye pani ke talaash mein sakht sardi may gharoun se niklana padh raha hai. Waadi mein jari shadeed sardiyoon aur sadkoun par phislan peda honay ki wajah se tijarti sargarmia subah ke waqt kaafi der se shuru horahee hain. Jahan bazaar der se khultay hain wahein tansport bhi sadkon par zara der se hi namodaar hota hai.

Zaraye ke mujtabiq waadi ka Shahrah Afaq jheel dull ki satah mazeed munjamad hui hai jis se is mein rahaish Pazeer logon ke mushkilaat badh gaye hain. Munjamad jheel dull ki satah par awam ko chaltay hue kheltay hue dekha gaya jis ke paish e nazar hukkaam ne mushawarti hukum nama jari kya ke jheel dull per khelna ya chalab sait jaan leva sabit hosakta hai.

Zila magistrate srinagar dr Shahid Iqbal choudhri ne is silsilay mein ek aalamia jari karte hue kaha hai ke social media par taswerain aur videos up load ki gayi hain jin mein awam ko dull jheel par chaltay aur khailtay hue dekha ja sa yeh harkatein jaan lewa saabit ho sakti hain. chunkay din ke waqt dhoop khuli rehti hai is se dull jheel ki jami hui parat pighal jati hai. nateejatan pani mein doobnay ka khatrah mojood hai.

Darin asna mehakma mosmiyat ke ek tarjuman ke mutabiq sri nagar mein guzashta shab ka kam se kam darja hararat manfi 7.6 degree centigrade record kya gaya. waadi ke Shahrah Afaq sayahati maqam gulmarg mein guzashta shab ka kam se kam darja hararat manfi 5.5 degree centigrade record kiya gaya jabkay dosray sayahati maqam pehlgam mein kam se kam darja hararat manfi 8.6 degree centigrade record hua hai. sarhadi zila kupwara may guzishta shab ka kam se kam darja hararat manfi 5. 7 degree centi grade record hua hai jabkay qaazi gunned mein manfi 8.3 degree centigrade aur kakark naag mein manfi 8. 4 degree centigrade record kya gaya.