Monday, April 21, 2025
HomeExclusiveKashmir mein 51 dinoun ke douran 13 hazaar noujawan Bachey ghayab honay...

Kashmir mein 51 dinoun ke douran 13 hazaar noujawan Bachey ghayab honay ka inkishaaf

New Delhi : BJP hukoomat ki janib se Kashmir ko khudmukhtari  denay walay dastoori haq ko khatam karne ke baad se waadi mein curfew hai jo kay ab taqreeban 2 mah taweel hochuka hai jis se jannat arzi mein awam ke zindagi ajeeran hogye hai lekin nai khabar yeh samnay aayi hai ke is douran waadi Kashmir se 13 hazaar bachoun ka koi pata nahi hai.

Jammu wo Kashmir ki soorat-e- haal ka jaiza lekar wapas aaye samaji kaarkunoun ne daawa kiya hai ke Article 370 khatam karne ke baad se pichle 51 dinoun ke douran 13 hazaar se zayed Bache ghayab hain jab ke halaat kaafi kharab hain. log fouj ke khauf ke saaye mein jee rahay hain aur mutadid wukla ko bhi jailoun mein band kardiya gaya hai.

Planning commission ki sabiq rukan aur Maroof maahir Taleem Saeed hamid ki qiyadat mein 5 khawateen par mushtamil ek wafad ne 17 taa 21 September Kashmir ke teen azlaa ke 51 dihaton ka doura karne ke baad apni report jaari karte hue yeh daawa kiya. is team mein national federation of Indian woman ki general secretary Annie raja, pragati mahela sangathan ki general secretary poonam koshak, Punjab university se subukdosh professor kanwal jeet aur Jawahrlal nehru university ki research schoalar pankhadi Zahir hain.

Is team ne media numaindoun n ke sath baat cheet karte hue Jammu Kashmir ki soorat-e-haal ka aankhon dekha haal bayan kiya aur kaha ke 51 din guzar jaanay ke baad bhi soorat-e-haal mamool par anay ke koi aasar nahi hain aur hukoomat ke tamam daaway jhutay hain kyun ke media par censorship jaisi soorat-e-haal hai is liye sachaai samnay nahi aa rahi hai. shopian, pulwama aur Bandipura azlaa ka dora karkay wapas aayen un khawateen ne kaha hai ke log fouj ke khauf ke saaye mein jee rahay hain kyun ke fouj un par zyad-ti kar rahi hai aur un par zulm wo sitam dhar rahi hai. raat 8 bajtay hi sab ko apne gharoun ki roshni bujha dainee padtee hai aur dukanain, college se le kar poora shehar band hojata hai. transport aur mawaslati zaraye band hain jis se logon ki iqtisadi haalat bhi bohat kharab hogayi hai.

Muslim womens  forum ki Saeeda hamid ne kaha ke woh sab wahan se intahi dil giriftaa hokar louti hain. halaat ko dekh kar unka dil khoon ke ansoo rota hai. poora shehar khamosh hai, dukanain nahi khulti hain, faslein barbaad hogayi hain, saib bhi tabah hogaye hain aur 10 se 12 saal se lekar 22-24 baras ke 13 hazaar ladke ghayab hogaye hain aur unke ghar walon ko pata nahi hai ke fouj ke jawan unke bachon ko kahan legaye hain. Kashmir mein paeda hui Saeeda hamid ne kaha ke jammu wo Kashmir se mutaliq Article 370 ko khatam karte hue kaha gaya tha ke Kashmir mein taraqqi nahi hui hai jab ke sachaai yeh hai ke 1934 se hi wahan taleem ki taraqqi hui hai aur taraqqi ke kayi paimano par Kashmir deegar reyaston se behtar hai. Peshe se wakeel poonam koshak ne kaha ke jammu wo Kashmir baar association ke daftar par tala laga hua hai aur wakeeloun ko peoples security qanoon mein girftar karkay agra, jalandhar, fareedabad ki jail mein khaid kar rakha gaya hai aur unke ghar walon ko nahi bataya ja raha hai ke woh kis jail mein hain .

Communist party of India ki khawateen tanzeem se wabsta any Raja ne kaha ke unki team ne kisanon, wakeelon, doctoron, nurses, school collegeon ke talba aur professaron aur khawateen khanah se bhi mulaqaat ki. un sab ne kaha hai ke inhen markazi hukoomat ne dhoka diya hai aur fouj un par zulm wo zyad-ti kar rahi hai. logon mein fouj ke tain kaafi gussa hai. un khawateen kaarkunon ne girftar afraad ko fouran riha karne, jhutay FIR khatam karne, soorat-e-haal ko mamool par laane, mawaslati nizaam bahaal karne aur fouj ki zulm wo zyad-ti ki tehqiqaat karwane wo ray Article 370 ko bahaal karne ka mutalba kiya. –YTN STAFF