Srinagar: Kashmir musalsal 26th din bhi mukammal tor par band raha. jummay ko srinagar ke beshtar hissoun aur deegar 9 azlaa ke qasba jaat mein awam ki azadana naqal wo harkat par sakht tareen pabandiyan nafiz rahen jabkay deegar hisson mein dafaa 144 ke tehat chaar ya is se ziyada afraad ke ek jagah jama honay par pabandi barqarar rakhi gayi hai.
Waadi ki mutadid masajid aur imam bargahon bilkhushoos sri nagar ke mein tareekhi wo markazi jama masjid mein musalsal chouthay jummay ko bhi namaz-e-jumma ada karne ki ijazat nahi di gayi.
Intizamia ne srinagar ka qalb kehlaye jaaney walay tareekhi Lalchowk ki taraf jaaney wali beshtar sadkon ko khardaar taar se band kardiya tha. mukhtalif azlaa ko sri nagar ke sath jodney wali sadkon par kharidaar taar bichai gayi thi. un sadakhon par tainaat hazaron security forces ohdedar kisi bhi gaadi ko laal chowk ki taraf jaaney ki ijazat nahi de rahay they. Ambulance aur sarkari mulazmeen ki gadiyon ko bhi laal chowk ki taraf jaaney ki ijazat nahi di jarahi thi.
Down town mein curfew nafiz hai aur sadkon par jagah jagah khardaar taar bichi hui hai. sahafion ko ek baar phir Nohata mein waqay tareekhi wo markazi jama masjid ki taraf jaaney ki ijazat nahi di gayi. awam ko apne gharon se bahar nahi anay diya ja raha hai. mossola it-tila-aat ke mutabiq Kashmir ke sabhi das azlaa mein jummay ko musalsal 26th roz bhi dukanain aur deegar tijarti marakaz band rahay jabkay sadkon par se awaami hamal wo naqal gayab raha.
Beshtar taleemi idaray band rahay aur sarkari dafatir mein mulazmeen ki haazri bohat kam dekhi gayi. beshtar bank shaakhen band nazar aayen. –YTN STAFF
Waadi mein markazi hukoomat ke haliya iqdamaat jin ke tehat riyasat ko khusoosi muaqqaf ataa karne wali ae-en hind ki dafaa 370 hataie gayi aur riyasat ko do hisson mein taqseem karkay markaz ke zair-e-intizam walay ilaqay banaya gaya is faislay ke baad se waadi Kashmir mein mamool ki zindagi moattal hai. har tarhan ki internet aur mobile phone khidmaat ba-dastoor munqita hain. mossola it-tila-aat ke mutabiq jummay ko mutadid jagahoun par muqami afraad ki security forces ke sath jhadpen huien jis douran forces ne pathrao ke murtakib ahtejajyon ko muntashir karne ke liye ansoo gas ke golay daghe. jhadpon ke douran kitney afraad zakhmi hue yeh fori tor par maloom nahi hosaka. intizamia ka daawa hai ke waadi ki sorat-e-haal taizi ke sath behtari ki janib gamzan hai taham iske bar-aks state road tansport corporation ki busses bhi sadkon se gayab hain. un mein se kuch darjan buses ko Civil secretariat mulazmeen aur sri nagar ke do teen hospitals ke amlay ko laane aur le jaaney ke liye istemaal kiya jaraha hai. SRTC ki koi bhi gaadi aam shehrion ke liye dastyab nahi hai jis ki wajah se inhen shadeed mushkilaat ka saamna hai.
Is ke ilawa dafaa 370 hataye jaaney ke baad se state bank of India ki beshtar marakaz par kufal laga hua hai. woh afraad jin ke SBI ki bank shaakhon mein khatay hain unhoun ne kaha ke bank shaakhon ke musalsal band rehne se inhen bohat se mushkilaat ka saamna karna pad raha hai. bank ke beshtar ATM bhi band padhe hain. waadi bhar mein phone aur internet guzashta zayed teen hafton se moattal hain jabkay beshtar taleemi idaray band pade hain. intizamia ki janib se jo taleemi idaray khole gaye hain un mein talba ki haazri sifar ke barabar hai.
Agarchay sarkari dafatir khulay hain taham transport ki Adam dasteyabi ki wajah se un mein mulazmeen ki haazri bohat kam dekhi jarahi hai. log bhi dafatir ka rukh nahi kar pate hain.
Intizamia ke ek ohday daar ne kaha ke waadi mein aed pabandion mein narmi laane aur land line phone khidmaat ki bahaali ka silsila jari hai. waadi ke beshtar hisson mein aglay ehkamaat tak dafaa 144 ke tehat chaar ya is se ziyada afraad ke ek jagah jama honay par pabandi jari rahay gi. Qabil-e-zikar hai ke waadi mein kisi bhi alahdgi pasand ya doosri tanzeem ne hadtaal ka elaan nahi kiya hai balkay jis hadtaal ka silsila jari hai woh ghair elania hai. intizamia ne Kashmir mein sabhi alahdgi pasand qaideen wo karakunoun ko thaana ya khanah nazar band rakha hai.
Is ke ilawa BJP ko chodhe kar riyasat mein intikhabaat mein hissa lainay wali jamaaton ke qaideen ko sarkari rahaish gaahon, apne gharon ya sri nagar ke Shahrah Afaq jheel ke kinaroon par waqay hotel mein nazar band rakha gaya hai. inhen ek jagah se doosri jagah jaaney ki bhi ijazat nahi di jarahi hai. waadi mein mawaslati pabandi ki wajah se zindagi ka har ek shoba buri tarhan se mutasir ho kar reh gaya hai.
Aam logon ko bill umoom jabkay talba aur pesha war afraad ko bilkhushoos shadeed mushkilaat ka saamna hai. waadi mein E-business bhi mukammal tor par thap hai. jahan waadi mein aaj kal galiyo mein cricket khelna waqt guzari ka behtareen zareya ban gaya hai wahein nojawan ki chhoti chhoti tolyon ko dukanon aur sadak chhoti parkon mein mojooda halaat par garma garam behas wo mubaheson mein bhi mashgool dekha ja raha hai.
Darin Isna waadi mein rail khidmaat jummay ko musalsal 26 win roz bhi moattal rahi. railway zaraye ne kaha ke rail khidmaat sarkari ehkamaat par moattal rakhi gayeen aur muqami intizamia ki taraf se green signal milnay ke baad hi bahaal ki jayen gi. –YTN STAFF