Friday, May 17, 2024
HomeIndiaKashmir mein 25 hazaar shadian mansookh

Kashmir mein 25 hazaar shadian mansookh

Sri Nagar: Duniya mein har so khauf o dehshat peda karne walay coronavirus ke pesh e nazar waadi Kashmir mein jahan ek taraf tamam tar mazhabi o samaji ijitmaat o taqrebaat moattal hain wahein hazaroun ki tadaad mein shadian mansookh huvi hain aur taziyati majalis bhi moattal ki ja rahi hain. Ek takhmine ke mutabiq waadi mein 25 April se shuru honay walay mah Ramdan se qabal taqreeban 25 hazaar shadian tey then lekin un mein se beshtar shadioun ki taqrebaat ko mansookh kiya ja raha hai ab agar kuch shadian anjaam pazeer huvi to wo intahi saadgi se anjaam di gayen.

Waadi mein intahi kharab halaat mein bhi kisi ke intqaal par taziyati majlis ka ineqad kiya jata tha lekin Coronavirus ke khatraat ke pesh e nazar pehli baar taziyati majalis ko bhi moattal kiya ja raha hai aur sogwaar kunba apne azaa o aqareb aur dost o ahbaab ko apne hi gharroun mein marhoom ya marhomen ke liye duaye mughfirat karne ki istada karte hain.

Waadi se shaya honay walay roz naamoun ke safhay aaj kal shadi ki mansookhi aur taziyati majalis ki muatali ke ishtiharaat se bharay pade hotay hain. Ishtihar shaya karwane walay logoun se Appeal bhi kar rahay hain ke wo Coronavirus se bachney ke liye apne gharroun tak hi mehdood rahen. Haji Ghulam Mohammad nami ek Muaziz shehri ne kaha hai ke waadi mein namsaad halaat ki wajah se shadian mansookh hojati then lekin taziyati majalis pehli baar moattal ki ja rahi hain.

Unhoun ne kaha ke yahan waadi mein namsaad halaat ke baais shadioun ki mansookhi koi nai baat nahi hai, Yahan to halaat aisay hain ke shadioun ki taqrebaat mansookh honay ka har aan khadsha rehta hai lekin taziyati majalis par aashob taren halaat mein bhi anjaam di jati then, Lekin pehli martaba aisa ho raha hai jab logoun ko gharoun mein baith kar hi fatiha padhnay ko kaha ja raha hai. Basheer Ahmed nami ek shehri ne kaha hai ke mere betay ki shadi khanah abadi mah April ke pehlay hi haftay mein tey thi lekin mojooda halaat ke pesh e nazar is ko mansookh karne ka faisla liya hai.

Unhoun ne kaha ke mere betay ki shadi mah April ke pehlay haftay mein tey thi lekin Coronavirus ke khatraat aur hukoomat ki taraf se nafiz ahteyati pabandion ke pesh e nazar hum ne is ko mansookh karne ka faisla liya hai kyunkay jaan hai to jahan hai is waqt sab se ziyada zaroorat ahteyati tadabeer par amal kar ke apni aur apne ahal khanah ki jaan bachana hai. Qabil zikar hai ke Coronavirus ke khatraat o khadshaat ke pesh e nazar waadi mein mukammal Lockdown hai aur loog gharoun mein bethnay ko hi tarjeeh day rahay hain. –YTN STAFF