Thursday, May 16, 2024
HomeIndiaKashmir mein 106 markazi qawaneen nafiz karne ki tayyariyan

Kashmir mein 106 markazi qawaneen nafiz karne ki tayyariyan

Srinagar : Jammu wo Kashmir aur ladakh jo kay ab markazi zair-e-intizam walay ilaqay ban chuke hain un mein rawan mah ki  31 tareekh ko 106 markazi qawaneen aur Hindustani aeen ki 9 aaeni tarameem nafiz ul amal hongi.

Un mein taleem ka haq, buzurug shehrion ke Falah wo behbood se mutaliq act 2001, aqlitoun ke liye qaumi commission act, khawateen, bachon wo maazoor afraad ki Falah se mutaliq act, panchayati raj se mutaliq aeen hind ki 73 aur 74 tarameem qabil-e-zikar hain.

Hukoomat ne yeh tafseel ek ishtihar mein jari kiya hai jo srinagar se shaya honay walay beshtar angrezi wo urdu roznamoun mein safha awal par shaya hua hai. yeh ishtihar uss silsilay ki ek kadi hai jiske tehat hukoomat ne khusoosi ikhtiyarat ki mansookhi se jammu, Kashmir aur Ladakh ko milnay walay fawaid ki tashheer ke liye akhbarat mein ishtiharaat shaya karne ka silsila shuru kiya hai.

Yaad rahe ke markazi hukoomat ne 5 august ko jammu wo Kashmir ko article 370- 35A dafa ke tehat haasil khusoosi ikhtiyarat mansookh kiye aur riyasat ko 2 markazi zair-e-intizam walay ilaaqoun mein tabdeel karne ka elaan kiya. waadi Kashmir mein tab se lekar ab tak hadtaal aur mawaslati khidmaat par pabandi aaed hai jiski wajah se mamool ki zindagi mo-attal hai. taham hukoomat kashmiri awam ko ishteharoun ke zariye yeh batanay mein lagi hai ke inhen 5 august ke faisloun se bohat faiday pohanchanay walay hain.

Angrezi aur urdu roznamoun mein shaya honay walay ishtihar mein kaha gaya ke jammu Kashmir aur Ladakh mein ab 106 awam dost qawaneen aur hindustani aeen ki 9 aaeni tarameem nafiz ul amal hongi. is mein mazeed kaha gaya hai is-se qabal jammu Kashmir mein markazi qawaneen ka nifaz mehdood tha. khusoosi tareeqa-car ke baghair Jammu Kashmir mein kisi bhi markazi dafaa ka nifaz na-mumkin tha. jiske nateejay mein jammu Kashmir mein bohat saaray qawaneen nafiz nahi kiye jasakte they aur is tarhan muqami bashindoun ko un qawaneen ke fawaid se mehroom hona padta tha. ab taraqqi ke liye bohat saaray qawaneen maslan taleem ka haq, buzurug shehrion ki Falah wo behbood se mutaliq act 2001, aqliton ke liye qaumi commission act aur khawateen, bachoun aur mazoor afraad ki Falah se mutaliq act ab nafiz ul amal honge.

Un tamam qawaneen ke nifaz se abadi ke tabqo ko fawaid haasil honge.

Sarkari ishtihar mein kaha gaya ke jammu Kashmir aur Ladakh mein ab insidaad rishwat satani ke tamam qawaneen laagu honge jis ki ba-doulat shafafit aur jawab dahi ka amal badheyga aur rishwat khori ka khtama hoga.

Is mein kaha gaya hai sakht qawaneen ki Adam dasteyabi ki wajah se rishwat khori mein izafah hua jabkay jawab dahi ka amal sust padhgya tha. jiske nateejay mein ruqumat ka bada hissa ghareeb awam tak nahi pohanch saka. is tarha ruqumat ka bada hissa kharch honay ke bawajood zameeni satah par koi thos tabdeeli nazar nahi aayi.

ab naye act sameit insidaad rishwat satani ke tamam qawaneen nafiz honge. tamam markazi agencio ki nigrani mein is baat ko yakheeni banaya jayega ke rishwat satani ka khatema ho. shafafit aur jawab dahi ka amal badheyga. awam ke liye makhsoos ruqumat haqeeqi maino mein mustehqin tak pohanch jayengi. ishtihar mein daawa kiya gaya hai ke jammu Kashmir aur Ladakh mein ab noujawanon ke liye nai subah tulu hogi aur sab ke liye khususan ghareeb bachoun ke liye miyaari taleem ki sahuliyaat dastyab hongi.

Mazeed kaha gaya hai agar-chey alahdgi pasandoun aur siyasat daano ke bachay London , New York, Singapore  aur duniya bhar ke deegar badey shehron mein taleem haasil kar rahay hain taham jammu Kashmir ke ghareeb bachon ko miyaari taleem ki sahulat se mehroom rakha gaya hai. ab Kashmir mein nai subah ke tulu honay ke baad sab ke liye yaksaa mawaqay dastyab honge. sab ke liye khususan ghareeb bachon ke liye miyaari taleem ki sahuliyaat dastyab hongi. hukoomat ki tavajja taleem, san-aton ke phelao aur sayahati sar-garmion ko badhawa denay par markooz rahegi. –YTN STAFF