Srinagar: 5 August ko Article 370 ko mansookh karne ke baad se Kashmir may Internet par pabandi, awam ke liye mushkilaat ka baais ban rahi hai. maazi may Inconters, muzahiroun ya askriat pasandoun ke mumkina khatraat ki wajah se tanao ke ilaaqoun may Internet khidmaat ko earzi tor par moattal kar diya gaya tha, lekin mojooda waqt may Internet par pabandi ne aam logoun ke sath sath taajiroun ko bhi mushkilaat may daal diya hai, jis se wo apni tijarti karwaiyoun ko Kashmir se bahar muntakil karne par majaboor hain.
Srinagar may muqeem ek Travel Agency ne Internet ki pabandi ki wajah se apne daftroun aur amlay ko guzashta mah jammu muntakil kar diya tha. Travels Agency ke maalik ne kaha ”hamare paas is ke siwa koi charah nahi tha. Kyun kay hamara kaarobar mukammal tor par Internet par munhasir hai“. Jammu o Kashmir ke mehakma it-tila-aat ke Media Center se apni Report pesh kar vane walay Kashmir ke sahafi Internet par pabandi se mayoos hain.
Guzashta haftay sahafioun ne 100 roza se Internet pabandi ke khilaaf Kashmir Press Club may ehtajaji muzahira kiya. Srinagar ke ek Sahafi Aakash Hasan ne kaha sahafi ghair mamooli halaat may Kashmir may kaam kar rahay hai. Internet tak rasai haasil karna hamara bunyadi haq hai“. hum sahafioun ke liye Internet ki bahaali ka mutalba karte hin“.
Internet par pabandi ne parvazoun aur Hotels ke Booking sameit tamam Online sar garmion ko mutasir kiya hai aur sekadoun talba mukhtalif Course ke liye Kashmir se bahar dakhlay ke liye apne naam ka indraaj nahi karwa sakay hain. Srinagar may ek Stock Broker aur Tax Consultant ne is Operation ko chalanay ke liye pichlle 2 mah se Delhi may ek mulazim tainaat kiya hai.
Internet pabandi ke jald khatam honay ke koi assaar na honay ki wajah se Internet ki bahaali ka mutalba din bah din badhta ja raha hai. Jammu may Panthers Party is pabandi ke khilaaf sadkoun par niklee. is Party ke sadar Harsh Dev Singh ne kaha ke ”aaj ke daur may Internet ke baghair zindagi ke barey may soonchna bhi ghair yakeeni hai. hamay pathar ke daur may dhakel diya gaya hai“. unhoun ne is pabandi ke khilaaf ehtijaj jari rakhnay ki baat kahi.
Isi bahes charshumbe ko wazeer-e-dakhela Amit Shah ne Parliament may bayan diya ke Internet ki bahaali ke muamlay ka jaiza liya jaye ga, aur jab muqami intizamia ko mehsoos hoga ke sorat-e-haal saaz gaar hai to Internet bahaal kiya jayega. Jammu o Kashmir Police ke Director General Dilbagh Singh ne kaha ”isse qabal Mobile Phone, Land Lines aur Voice calling ko bahaal Kiya gaya tha, sorat-e-haal ka mustaqil jaiza liya ja raha hai, hum Internet ko sahih waqt par kholnay par ghhor karen ge. –YTN STAFF