Monday, April 21, 2025
HomeIndiaKashmir ki taraqqi Modi ke gujrat aur deegar Riyasatoun se behtar

Kashmir ki taraqqi Modi ke gujrat aur deegar Riyasatoun se behtar

Hyderabad : Kashmir ki taraqqi ke naam par Article 370 ko barkhast kiya gaya hai aur yeh zahir karne ki koshish ki jarahi hai ke Kashmir ke mutaliq BJP hukoomat ne jo iqdaam kiya hai woh kashmiriyoun aur Hindustan ke haq mein ek dulerana aur behtar faisla hai halaanke Kashmir ka moujooda muaqqaf aur sharah taraqqi hai woh Modi ke gujrat aur deegar BJP riyasat se kahin behtar hai. 8 august ko Wazeer-e-Azam Narendra Modi ne qoum ke naam apne khitaab mein Kashmir ki badhaali wo pasmandagi ka jo fasana sunaya hai is ne bhaktoun ki is soch ko yaqeen mein tabdeel kardiya hai ke agar Kashmir se Article 370 aur 35A khatam nahi kiya jata aur is riyasat ko do hissoun mein taqseem na  kiya jata to aindah chand saal mein Kashmir tabah hojata jabkay mehez 0.2 feesad log hi is fasana ko mante hain ke Article 370 ke hataane se Kashmir maslay ka hal ho sakta hai.

Bhaktoun ki samajh mein yeh haqeeqat bhi nahi aa rahi hai ke khusoosi darja ki wajah se kisi riyasat ki taraqqi deegar Riyasatoun ki ba-nisbat ziyada mustehkam aur paidaar hoti hai aur is riyasat par deegar Riyasatoun ki tarhan qarza jaat ke bojh nahi hotay. Iske bar-khilaf ab jabkay Kashmir ki yeh khusoosi haesiyat khatam hochuki hai aur usay do hisson mein taqseem kiya ja chuka hai, to iski taraqqi par sawalia nishaan lag gaya hai lekin bhakt agar is haqeeqat ko samajhney lagen to bhala woh bhakt hi kyun kehlayen. Wazeer-e-aazam ne apne khitaab mein Kashmir mein jis taraqqi ki baat ki hai is ke baarey mein bas itna kaha jasakta ke yeh ek umdah taqreer thi lekin afsos ke is mein Kashmir ke sirf manfi pehlu ko hi paish kiya gaya. jabkay sachaai yeh hai ke GDP fee kas ke lehaaz se jammu wo Kashmir poorey Hindustan mein 24th muqam par hai jo maghribi bangal ke baad dosray number par aata hai.

Is ke bil-muqabil BJP ke Zaire-e-iqtedar Riyasatoun mein se assam 29th number par hai, Jharkhand 30th number par hai, Uttar pardesh 32nd number par hai, Bihar 33rd number par hai, yahan tak ke Madhya pradesh wo Orissa bhi Jammu wo Kashmir se bohat peechay hain. Madhya pradesh ki sharah BJP dourِ-e-hukoomat ki hai jahan BJP musalsal 15 saal tak hukmuran thi. GDP par capital ki bunyaad par kisi riyasat o mulk ki taraqqi ke majmoi soorat-e-haal ka andaza lagaya ja sakta hai lekin wazeer-e-aazam ne apni taqreer mein is pehlu par kuch kehnay ke bajaye Kashmir ko mulk ki deegar Riyasatoun ki tarha taraqqi Yafta bananay ki baat par poora zor diya. multidimensional poverty index ki sharah jo aam logoun ki ghurbat ko napnay ka ek paemana hai, is ke lehaaz se bhi Jammu Kashmir mulk ki 36 Riyasatoun Bashmole markaz ke zair-e-intizaam Riyasatoun mein 15th  muqam par hai jabkay Uttar Pradesh wo Gujrat jaisi riyasatein bhi is muamlay mein Jammu vo kashmir se bohat peechay hain. isi ke sath Jammu wo Kashmir human wo health ke maidan bhi mein Uttar Pradesh wo Gujrat wo mulk ki deegar Riyasatoun se behtar na sahi to unse kam bhi nahi hai. Kashmir ki taraqqi par ek nazar daali jaye aur deegar Riyasatoun se iska mawazna kiya jaye to tijzyati adaad vo shumar Kashmir ke haq mein hi deekhaei dete hain.

Yeh adaad wo shumaar da print aur sab rangnez deegar kayi portal ne shaya kiye hai. sab se pehlay hum wazeer-e-aazam Narendra Modi aur unkay khaas Amit Shah ki riyasat Gujrat par nazar daaltay hain. mout ki ba-nisbat paidaiesh ki sharah gujrat mein 69 hai to jammu wo Kashmir mein 74 hai. 5 saal ki Umar ke bachoun ki sharah Gujrat mein 33 hai to Jammu Wo Kashmir mein yeh 26 hai. fee aurat bachay baleedgi ki sharah Jammu wo Kashmir mein 1.7 hai to wahein Gujrat mein yeh sharah 2.2 hai. isi tarha 15 saal se 19 saal ke darmiyan ki ladkiyan jo 8 saal tak school mein padh chuki hain unki sharah gujrat mein 75 hai jabkay jammu wo kashmir mein 87 hai. bachon mein ghizai qillat ke sabab kam wazan ki sharah Gujrat mein 39 hai jabkay jammu vo kashmir mein 17 hai. aurton mein BMI ki sharah Gujrat mein 27 hai jabkay Jammu vo kashmir mein yeh mehez 12 hai. bachon ka mukammal teeka laganay ki sharah gujrat mein 50 hai jabkay jammu vo kashmir mein 75 hai. dehi ilaaqon ke awam ki ghurbat ki sharah gujrat mein 22 hai jabkay jammu vo kashmir mein 12 hai. dehi ilaaqoun ke logoun ko mazdoori milnay ki sharah gujrat mein 116 hai jabkay jammu vo kashmir mein 209 hai.

Ab zara Hindustan ki sab se badi riyasat Uttar Pradesh ki soorat-e-haal par ghour karen. National Family Health Surway ( NFHS) ke tehat jammu wo Kashmir mein bachon mein ghizai qillat se kam wazan ki sharah 16.6 hai to Uttar Pradesh mein yeh sharah 39.5 feesad hai. jabkay mulk ki satah par yeh sharah 35.8 hai. bachoun ki amwaat ki sharah jammu wo Kashmir mein ek hazaar bachoun mein 32 hai to Uttar Pradesh mein yeh sharah 64 hai aur mulk mein yeh sharah 41 hai. paanch saal se kam Umar ke bachon ki sharah jammu vo kashmir mein ek hazaar mein 83 hai to Uttar Pradesh mein yeh 78 hai aur mulki satah par yeh sharah 50 hai. family planning ke baarey mein beydaari ki sharah jammu wo Kashmir mein 57 feesad hai to Uttar Pradesh mein 45 feesad aur poooray mulk mein 53 feesad. kam Umar ( 15 se 19 saal ke darmiyan  mein maaen ban’nay ki sharah jammu vo kashmir mein 2.9 feesad hai to Uttar Pradesh mein yeh 3 8 feesad hai aur mulk mein yeh 9.7 feesad hai. Ayyaam-e-hamal mein aurton ki dekh bhaal ki sharah jammu wo Kashmir mein 81.4 feesad hai to Uttar Pradesh mein yeh feesad 26.4 feesad hai aur mulk mein 51.2 feesad hai.

Bachon ko mukammal teekay laganay ki sharah Jammu wo kashmir mein 75 feesad hai, Uttar Pradesh mein 51 feesad jabkay poooray mulk mein 62 feesad. aurton par jinsi tashadud ki sharah jammu wo kashmir mein 9. 4 feesad hai, wahein Uttar Pradesh mein yeh sharah. 4 36 feesad hai aur poooray mulk mein 31 feesad hai. aurton per aam tashadud jammu Kashmir mein 14 feesad hai, Uttar Pradesh mein 38 feesad hai aur poooray mulk mein 33 feesad. isi sharah ke lehaaz se deegar mamlaat ka bhi mawazna kiya ja sakta hai.

In haqayiq wo adaad wo shumaar ke bawajood mulk ko wazeer-e-aazam aur Amit ki janib se yeh bawar karwane ki koshish ki ja rahi hai ke jammu wo kashmir ki Falah vo behbood neez taraqqi Article 370 ki wajah se ruki hui thi. jabkay yeh tamam adad wo shumar hukoomat ki hi websites par mojood hain. sawal yeh paeda hota hai ke aakhir inhen yeh jhoot bolnay ki kyun zaroorat pad rahi hai to is ka jawab unke vote bank mein posheeda hai. jaisa ke ibteda may arz kiya gaya ke wazeer-e-aazam ke khitaab ne aqal se paidal bhaktoun ko aankhh se bhi andha kardiya hai. Agar ye haqeeqi soorat-e-haal mulk ke awam ke samnay aajaegi to is siyasi ghubaare ki hawa nikal jayegi. is lehaaz se yeh kaha ja sakta hai ke Modi ne aur Shah ne mulk ke deegar sangeen masail khaas tour se tabah hoti maeeshat se awam ki tavajja hataane aur samaj mein polarization ke liye jammu wo kashmir ke sath sakht na-insafi ki hai aur mulk ki taraqqi ka jhoota khawab dikha kar awam ko gumraah karne ki koshish qasdan ki hai. –YTN STAFF