Monday, April 21, 2025
HomeIndiaKashmir ki sorat e haal, BJP hukoomat ke dave ke Bar aks:...

Kashmir ki sorat e haal, BJP hukoomat ke dave ke Bar aks: Yechury

New Delhi: CPI-M ke General Secretary Sitaram Yechury, jinhon ney jummay ke roz Kashmir mein apni party ke maveen Mohammad Yusuf Tarigami  se mulaqaat ki, unhon ney kaha ke markazi hukoomat jo daawa kar rahi hai Kashmir mein sorat e haal mamool par hai, lekin wahan par sorat e haal is ke Bar aks hai.

Yechury ney jumaraat ke roz sakht Security ke darmain Tarigami se mulaqaat ki, jahan woh nazar band hain. Wapsi ke baad sahafion se khitaab karte huwe Yechury ney kaha mai nay Tarigami se mulaqaat ki aur un ki sahet ke baray mein dariyaft kiya. Mein ney un ki sahet se mutaliq adalat mein halaf nama dair karoon ga aur aur wahan mein ney kiya dekha is ki ittila bhi dun ga. Unhon ney kaha ke mai nay dekha ke zameen par sorat e haal bilkul BJP hukoomat ke dawe ke khilaaf hai.

Wazeh ho ke 5 August ko Article 370 ko mansookh karne se qabal Tarigami ki nazar bandi ko challenge karne wali darkhwast ki samaat ke baad Sitaram Yechury ko Supreme Court ney Kashmir jaaney ki ijazat di thi. Article 370 ko mansookh karne ke baad Yechury pehlay leader they, jinhein Kashmir ka dora karne ki ijazat di gayi thi.

Jumaraat ko Yechury Srinargar hawai adday se rawana huwe aur dopehar ke waqt Tarigami ki rahaish gaah puhanche they. Media ko Tarigami ki rahaish gaah ki taraf jaaney se rok diya gaya tha. Yechury Article 370 ko mansookh karne ke baad Kashmir ke teesray doray par Tarigami se mulaqaat ki, pichlle do baar un hone Sri Nagar hawai adday se wapas bhaij diya gaya tha. Isi terha 24 August ko, sabiq Congress sadar Rahul Gandhi sameit Oppostion rehnumao ko hawayi adday se hi wapas bhaij diya gaya tha.