Wednesday, April 24, 2024
HomeLatest NewsKashmir ki pehli khatoon auto driver Banjeet Kaur, Auto chala kar Aleel...

Kashmir ki pehli khatoon auto driver Banjeet Kaur, Auto chala kar Aleel waalid ka taawun karne mein masroof

Jammu: Jammu vo kashmir ke zila udhampur se taaluq rakhnay wali ek 21 sala Taliba ne auto raksha chala kar apne aleel valid ki madad karni shuru kar di hai, balkay zila ki pehli khatoon auto driver ban’nay ka aizaz bhi haasil kya hai. zila udhampur ke ek ghareeb gharane se taaluq rakhnay wali Banjeet Kaur  auto chala kar ghar ki aamdani bhi badha rahi hain aur shaam ke waqt padhai karkay B.com ki degree bhi kar rahi hain.

Banjeet Kaur ne kaha hai ke jab corona ke paish-e-nazar lockdown ke baais mere waalid, jo ek khangi school ki gaadi chillate hain, be-rozgaar hogaye to mein ne auto chala kar ghar mein rozi roti ka band –o-bast karna shuru kiya. Is khatoon ne media se kaha ke mere waalid ek khangi school ki gaadi chillate thay corona lockdown ki wajah se woh bhi be-rozgaar hogaye, Ghar ka guzarah chalna mushkil hogaya to mein ne auto chalana shuru kya taakay rozi roti ka Bandoo bast hosakay. unhon ne mazeed kaha kay mein din ke waqt auto chala kar nah sirf ghar ke guzare ko chalati hon balkay logon ki bhi is tarhan khidmat karti hon. mein shaam ko khud bhi padhai karti hon aur B.com ki degree ko jari rakhay hue hon aur bachon ko bhi padati hon jisse aamdani mein mazeed izafah hojata hai.

Kaur ke mutaqbiq auto chalanay se taleem kisi had tak mutasir zaroor hoti hai lehaza agar hukoomat meri padhai ka kharcha zimma legi to mein auto chalana chode dungi aur saari tawajah taleem par markooz kardogi. Banjeet Kaur  auto driver ke alawa NCC cadet bhi hain aur fouj mein bharti honay ki khawahish mand bhi hain. is zimn mein unhon ne kaha ke mein NCC cadet bhi hon aur fouj mein bharti honay ki khawahish mand bhi hon aur fouj mein bhi ohdedaron ki gariyaan chalana mera shoq hai.

Mai auto chalanay mein kisi qisam ki koi sharam mehsoos nahi karti hon balkay bohat hi khushi aur jazbay se driving karti hon. Unhon ne kaha ke mein ne apne waalid se auto chalana seekha aur saal 2017 mein mujhe Driving license bhi mila hai aur mutaliqa mehakma ke ohdedaron ne meri kaafi hosla afzai ki. Ek sawal ke jawab mein Banjeet Kaur  ne kaha jab tak mere waalid ki aamdani badh nah jayegi mein tab tak auto chlaongi iske baad mein auto chalana band karkay taleem ki taraf saari tawajah dungi. Jammu vo kashmir mein ladqkiyon ko ziyada tar bahar niklne nahi diya jata hai lekin jis tarhan mein bahar niklee hon isi terhan baqi ladkiyon ko bhi bahar nikal kar apni pasand ka kaam karna chahiye. Unhon ne kaha ke ladkiyan baqi duniya mein tamam shobo mein mardon ke shana bah shana kaam karti hain lehaza yahan bhi kar sakti hain.