Srinagar: Waadi Kashmir mein 117 dinoun se jari ghair yakeeni sorat-e-haal aur iztirabi kefiyat ke darmain jummay ke roz jahan shehar Srinagar ke tamam ilaaqon mein bazaar nisf din tak khulay rahay wahein Pain shehar ke Nowhatta mein waqay tareekhi jame Masjid mein musalsal 17 win jummey ko bhi namaz jumma ada nahi ki gayi.
Yad rahe ke markazi hukoomat ke 5 August ke Jammu Kashmir ko Article 370 aur 35 A ke tehat haasil khusoosi ikhtiyarat ki tanseekh aur riyasat ko 2 wifaqi hissoun mein munqasim karne ke faislay ke khilaaf waadi mein ghair elania hadtaal ka la-mutnahi silsila jari huwa tha jo hanoz jari hai.
Waadi mein jummay ke din jahan Srinagar ke Pain wo balaee ilaaqoun mein nisf din tak tamam bazaar khulay rahay wahein deegar zila sadar maqamat wa qasba jaat mein bazaar kahin nisf din tak to kahin nisf din ke baad khul gaye. Idhar Pain shehar ke Nowhatta mein waqay waadi ke sab se qadeem maabad jame masjid mein musalsal 17 win jummey ko bhi namaz jummay ada nahi ki gayi. Aini shahideen ne kaha ke agarchay subah ke waqt jamia market mein tamam dukaan khulay they lekin baara bajne se qabal hi wo band hogaye. Jame masjid ke gird pesh security ka hisaar hasb dastoor qaim tha
qabil zikar hai jame masjid ke imam hi syed Ahmed Sayeed Naqshbandi ne guzashta roz kaha tha ke jame masjid ke gird wa pesh security hisaar ke pesh-e-nazar jame masjid mein filhal waqt namaz jummay ki adaigi mumkin nahi hai. Unhon ne kaha ke jab jamia masjid ke ird gird security hisaar ko hataya jaye ga tab jame mein namaz jummay ki adaigi bahaal hogi. Intizamia ne kaha hai ke jame masjid ke gird wa pesh tamam pabandiyan hataie jachuki hain aur namaz jummay ki adaigi par kisi qisam ki koi pabandi aed nahi hai.
Tareekhi jame masjid Srinagar ko 2016 mai Burhan Muzaffar vani ki halakat ke baad 19 haftoun tak muqaffal rakha gaya tha. Kashmir intizamia ne tab jame masjid ko July ke pehlay haftay mein muqaffal kiya tha aur anees haftoun tak muqaffal aur security forces ke muhasray mein rehne ke baad usay qareeb 5 mah baad 25 November ko jummay ki namaz ada karne ki ijazat di gayi thi. 19 win sadi mein is tareekhi masjid ko sikh hukmraanon ne 1819 usay 1842 tak musalsal 23 barsoun tak band rakha tha. Hurriyaat Conference ( a ) ke chairman Meer waiz molvi Umar Farooq jame masjid mein namaz jummay ki adaigi ke baad khusoosi khutba diya karte they taham un ki lagataar nazar bandi se ye silsila musalsal moattal hai
waadi ki tamam sadkoun par transport ki naqal vaamal badastoor jari-o-sari hai agarchay niji gadiyoun ki aamad raft ziyada hi hai lekin public transport mein bhi har guzarte din ke sath izafah darj kiya ja raha hai. Aini shahideen ke mutabiq kayi roots par schoolon ki khangi gadiyaan bhi namodaar honay lagi hain. Waadi mein agarchay phone khidmaat aur Rail service ki bahaali se logoun ke mushkilaat ka kisi hadd azaala hogaya hai lekin Internet aur sms khidmaat ki musalsal muatali logoun bilkhushoos sahafioun, Talba aur taajiroun ke liye mushkil ban gayi hai. –YTN STAFF