Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaKashmir ke shandaar Islami fun taamer virsa ki Delhi mein numayesh

Kashmir ke shandaar Islami fun taamer virsa ki Delhi mein numayesh

New Delhi: Ahad wasti mein Kashmiry Islami fun taamer ke shandaar aur be misaal virsa ko roshnaas karanay ki gharz se India International Center ke annexe mein ek numayesh ka ineqad kiya gaya hai jo 4 Feb tak jari rahay gi. Numayesh ka maqsad Kashmir ke tagseri noiyat ke fun taamer aur fanoon lateefa ko dunya ke samnay laa na hai. Numayesh ke iftitah se qabal Kashmir mein Islami fun taamer ke mauzo par ek muzakrah ka bhi ineqad kiya gaya jis mein Kashmir ki fani riwayaat aur takhleeqi amal par mahireen ne tafseeli roshni daali aur usay mukhtalif tehziboun ka ek Husnu aur be misaal imtezaaj qarar diya.

Numayesh ka ineqad Intake Kashmir Chapters Jammu o Kashmir ke mehakma sayahat aur India International Center ( AIC ) ne mushtarqa tor par kiya hai. Qaroun wasti ke Kashmir mein Islami fun taamer ki ibtida ke mauzo par mobahisa ka aaghaz karte hue mumtaz o maroof fun taamer ke maahir aur Jammu o Kashmir Intake chapters ke Convener Dr Saleem Baig ne kaha ke qaroun wasti mein Kashmir ke Islami fun taamer ke irtiqa mein hind math aur Budh math adwar ke tameeri asraat nazar atay hain. Ye dar haqeeqat maazi ki mazhabi riwayaat ka tasalsul hai. Masjidoun, Nazaroun, Dargahoun aur deegar muqaddas maqamat ki taamer mein mushtarqa tehzibi virsa ki jhalak numaya nazar aati hai.

Unhoun kaha ke siyasi mamlaat se qata nazar Kashmir ka Geography aur is ke zabani, Ilmi o adabi virsa par nazar daalna chahiye. Is silsila mein unhoun ne satwen sadi ke sansikrat mein likhay gaye Sahifah Nilmat Paran aur Raaj tarnenkki ka hawala diya jis mein Kashmir ko ek muqaddas sarzamen tasoor kiya gaya hai aur kaha gaya ke is ki takhleeq hukum khuda wandi se amal mein aayi. Un sansikrat ke saheefoun mein pesh ki gayi un falsfiyana batoun ku farsi zabaan ke Muslim morkhoun, Shayroun aur Adiboun ne bhi apni takhliqat mein jagah day kar is tasalsul ko jari rakha ke sar zameen Kashmir ek muqaddas sar zameen hai jisay Jannat aur Firdous se tashbeeh di gayi hai.

Dr Baig ne Kashmir ki tareekh ki markazi khasusiyat kuaa jagar karte hue kaha ke ye sar zameen Hindu mat, Budh mat aur Islam ke saqafati aur tehzibi riwayaat ke Artubat ka ek sangam aur imtezaaj kehlayi. Dr Sameer Hamdani ne izhaar khayaal karte hue kaha ke Kashmir ke fun taamer mein tenu mazahab ke asraat aur riwayaat marboot nazar aati hain. Jo Kashmir mein mazhabi rawadari aur mazhabi takseriyat ka aaina daar hai. Dr. Hamdani bhi Kashmir intake se wabasta hain.

Tareekh ki professor Narayan Gupta ne kaha ke fun aur fun taamer insani takhleeqi salahiyatoun ka izhaar hai aur is ko Hindu fun taamer ya Rajpot fun taamer ya Muslim fun taamer ka waghera naam day kar takseem nahi kiya ja sakta.

Numayesh mein muqaddas imaartoun ke tamirati naqshoon aur tasaveer ko pesh kiya gaya hai jis se Kashmir ke takseri saqafat aur hesiyat ujagar hoti hai. Is numayesh mein qaroun wasti ke Kashmir mein Islami fun taamer ke nuqta aaghaz aur is ke irtiqa ki tareekh bayan ki gayi hai. Aur intake ne un tareekhi imaartoun ki ronaqe bahaal kiya hai. Un mein khanqahi Maula, Peer Dastagir Sahib ki Dargaah, Madni Masjid aur deegar imaartoun ki taswerain aur naqshay bator namona numayesh ke liye sajaye gaye hain. –YTN STAFF