Lucknow: Bahujan samaj party ( BSP ) ki reyasti daftar mein markazi majlis Amila , all India state party unit ke zimmedaaron wo party numaindon ke munaqidah khusoosi ijlaas mein BSP ki qaumi saddar wo sabiq chief minister Mayawati ko ittafaq raye se dobarah party ka qaumi saddar muntakhib kiya gaya.
Ittafaq raye se BSP ka dobarah sadar muntakhib kiye jaane ke baad Mayawati ney party kaarkunon ka shukriya ada karte hue kaha ke woh BSP ke liye har qisam ki qurbani dainay ko tayar hai.
Is zimn mein nah to woh kabhi ruknay wali hain aur nah hi jhuknay wali hain. woh dalit pasmandah tabqaat ki aawaz uthati aur BSP nazriaat ko awam tak pohanchanay ke iqdam karti rahengi.
Kashmir se Article 370 htaye jaane ke faislay ki party ki janib se taied kiye jaane ki wazahat karte hue kaha ke Babasheb ambedkar jammu wo Kashmir mein dafaa 370 ke kabhi haami nahi they uski khaas wajah se BSP nay parliment ke dono aiwanon mein markaz ke zareya article 370 khatam kiye jaane ki himayat ki hai.
Sath hi unhon nay Kashmir ke mojooda halaat par bhi tabsarah karte hue kaha ke halaat ke mamool honay mein thoda sa waqt lageyga jiska hamein intezaar karna chahiye.
Is zimn mein unhon ney ek baar phir congress sameit opposition leadron ke bila ijaazat Kashmir jaane ki koshish ki tanqeed karte hue sawal kiya ke agar unke is harkat se Kashmir ke halaat bigad jatay to iska zimmedar kon hota. unhon ney opposition ke is koshish ko markaz aur governor satiya pal malik ko Kashmir par ghair zurori siyasat karne wala amal qarar diya.
Kashmir ke moujooda halaat ke liye congress Nehru ko zimmedar tehrate hue Mayawati nay kaha ke agar congress naay apne ehad mein Kashmir se article 370 pehlay hi khatam kardiya hota to aaj wahan aisay halaat nah hotay aur BJP ko iski aadh mein siyasat karne ka mauqa nah milta.
Unhon nay congress par daliton, pasmandah tabqaat wo deegar mazhabi aqliton ko nazar andaaz kar ney ka bhi ilzaam lagaya.
Jammu wo Kashmir se ladakh ko alag karke usay alehda markaz ke zair-e-intizam riyasat bananay ke markazi ke faislay ko leh- ladakh ke budh samaaj ke logoun ki barson puranay mutalbe ki takmeel qarar dete hue Mayawati ney kaha ke BSP mutalba karti hai ke markazi hukoomat unki khusoosi shanakht unki Saqafat ke tahaffuz aur ilaqay ki taraqqi ke aqda meem kere. BSP ko dalitoun aur deegar pasmandah tabqaat ka haqeeqi khair khwah batatay hue unhon naay kaha ke un tabqaat ke mafadaat ke tahaffuz aur unki Falah ke liye BSP naay UP mein bani apni chaar martaba ki hukoomat mein kaafi falahi schemes chalayein jo aaj bhi ek behtareen misaal hai.
Is mauqa par unhon naay BSP hukoomat ki kamiyabiyoun ka khusoosi zikar kiya. haal hi mein Haryana , Maharashtra jharkhand wo Delhi mein honay walay assembly intikhabaat mein congress wo BJP ko apna khusoosi hareef batatay hue party kaarkunon ko intikhabaat ke liye sakht mehnat karne aur zameeni satah par pohanch kar votoron se BSP ke nazriaat se aagah kar naay ki Salah di aur uttar pardesh mein 13 seaton par honay walay zimni intikhabaat ke liye bhi zurori Hidayat den. –YTN STAFF