New Delhi: Karachi, Kashmir ka masla Hindustan aur Pakistan ke liye kayi barsoun ka darina aur paicheeda masla raha hai aur ab jabkay BJP hukoomat neh article 370 barkhast karte hue Kashmir ka muaqqaf badal diya hai jiska asr dono mumulk ke taluqaat par bhi padh raha hai lekin haeran kan tor par dono mumulk mein sone ki qeemat mein achanak izafah dekha gaya hai aur is mein bhi haeran kin amar yeh hai ke Hindustan aur Pakistan mein ek tola sone ki qeemat mein 50 hazaar ka farq hai. jee haan! Pakistan ki bah-nisbat Hindustan mein fee tola sona taqreeban 50 hazaar rupaye kam mein dastiyab hai. Kashmir ki khusoosi haesiyat khatam karne ke baad hindustani market mein wazeh tabdeeli hui hai aur Hindustan bhar mein sone ki 10 gram ki qeemat tareekh ki buland tareen satah 38, 350 rupay par pohanch gayi hai aur dollar ke muqablay mein rupay bhi khisak raha hai.
Tafseelaat ke mutabiq Hindustan bhar mein sone ki qeemat mein izafah dekhnay mein aaraha hai, sirf ek din ke douran ek feesad izafah dekhnay mein aaya tha aur yeh izafah 6 saal ki buland tareen satah par dekha gaya. hindustani market mein 10 gram sone ki qeemat mein 580 rupay ka izafah dekha gaya jiske baad nai qeemat 38,350 rupay ki satah par pohanch gayi hai. mahireen haeran hain ke Hindustan duniya ka dosra bada mulk hai jo sone ko ziyada kharidata hai. guzashta mah bhi hukoomat neh sone par duty ko badha diya tha taham is ke baad Kashmir ki khusoosi haesiyat khatam kiye jaanay ke baad muashi mahireen pareshan dikhayi day rahay hain. isi tarha Hindustan mein dollar neh bhi rupay ki qeemat ko mutasir kiya hai. karobari haftay ke dosray din rupay ki qader mein kami dekhi gayi. market mein dollar ki udaan se rupay halka hokar reh gaya hai. ek Amrici dollar 1 rupay 13 paise badh kar 71.72 rupay ki buland tareen satah par pohanch gaya hai. guzashta roz bhi qeemat mein 99 paise izafah hua tha jiske baad qeemat 70.59 rupay ki satah par poanch gayi thi.
Alawa azeen Hindustan bhar mein amarati dirham ki qader bhi badh gayi hai aur ab ek imarati dirham 19.24 rupay ki satah par pohanch gaya hai. Kashmir par ek faislay ke baad hindustani currency paanch mah ki kam tareen satah par dekhi gayi lekin mahireen ka daawa hai ke yeh tabdeeli America aur china ke darmiyan tijarti jung ka nateeja hai. market zaraye ke mutabiq Kashmir ki khusoosi hesiyat khatam kiye jaanae baad aur waadi mein kasheeda sorat-e-haal neh rupay ki qeemat mein tabdeeli paeda kar di hai aur sarmaya-car paise mashgool karne ki bajaye dekho aur intezar karo ki policy par amal pera hain.
Doosri janib Pakistan bhar mein sone ki qeemat mein musalsal taizi record ki jarahi hai, aalmi market mein sona mehanga honay ke baad fee tola ki qeemat tareekh ki buland tareen satah 86,250 rupay par pohanch gayi hai aur Hindustan ki bah-nisbat Pakistan mein fee tola sona ki qeemat 48,700 rupiye ziyada hai. tafseelaat ke mutabiq Pakistan bhar mein karobari haftay ke teesray din sone ki qeemat mein izafah dekha gaya. aalmi manndi mein sone ki qeemat 32 dollar izafay ke baad 1495 dollar fi tola hogayi. jiske asraat Pakistani sarafa markets mein bhi dekhe gaye aur fee tola sone ki qeemat mein bada izafah dekha gaya. dealers ke mutabiq fee tola sone ki qeemat 1750 rupay izafay ke baad 86 hazaar 250 rupay ki satah par pohanch gayi hai. isi douran 10 gram sone ki qeemat mein 1500 rupay ka izafah dekhnay mein aaya jiske baad 10 gram sone ki qeemat 73 hazaar 945 rupay hogayi. –YTN STAFF