Sunday, May 11, 2025
HomeJurmKarntaka ke Koppal shehar mein current lagnay se paanch talba ki mout

Karntaka ke Koppal shehar mein current lagnay se paanch talba ki mout

Koppal: Karntaka ke Koppal shehar mein ek rehaishi school ki imarat ki chath par current lagnay se paish aaye khoufnaak haadsay mein 14 se 16 saal ki Umar ke paanch talba ki mout hogayi.

Yeh afsoosnaak waqia is waqt paish aaya jab ladke chhath par 15 august ko qaumi parcham lehraane ke liye istemaal kiye gaye matti se bharay drum par lagey 15 foot ke lohay ke khambay ko hata rahay the.

Koppal ke superintendent police Renuka Sukumar  ney bataya ke ”jab woh khamba hata rahay the to school ki imarat ke qareeb 11 Kilo watt ( KV  ) ke bijli walay taar se rabta hua to woh bijli ka shikaar ho gaye aur faut hogaye. Koppal Bangalore se shumal maghrib mein 350 km ki doori par hai. faut honay walay talba ki shanakht, Mallikarjun, Basavaraj, Devaraj, Ganesh aur Kumar ke tor par hui hai.

BCM Deveraj Urs King’s residential school  hostel warden, aur ek manzila imarat ke maalik aur bijli faraham kunindah ( Gescom) ke ohdedar ke khilaaf IPC ke dafaa 304 A ke tehat ghaflat ka muqadma darj kiya gaya hai.

Mazkoorah nou Umar taalib-e-ilmoun ki halakat par afsos ka izhaar karte hue, reyasti wazeer-e-aala BS Yediruppa ney banglore  mein is haadsa ki tehqiqaat ka hukum diya aur zilai deputy commissionaire ko Hidayat ki ke har mutasirah taalib-e-ilm ke lawahiqeen ko 5 laakh rupaye muawza diya jaye. –YTN STAFF