Thursday, May 9, 2024
HomeIndiaKarnataka mein pur-tashaddud muzahiroun ke baad 22 December tak Curfew nafiz

Karnataka mein pur-tashaddud muzahiroun ke baad 22 December tak Curfew nafiz

Bangloru: Shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) ke khilaaf Karnataka ke Manglore Shehar mein guzashta roz purtashadud muzahirey ke douran police firing mein 2 afraad halaak hogaye hain jis ke baad kasheeda halaat ke pesh-e-nazar intizamia ne 22 decemeber tak pooray janoobi Kannada zila mein curfew nafiz kardiya hai. Ilawa azeen jumaraat ki raat 10 bajay se Manglore shehar aur janoobi Kannada zila mein internet khidmaat bhi band kar di gayi.

Muzahirey ke douran jin 2 loguon ki mout huvi hai un ke naam Abdul Jaleel aur Nausin betaye ja rahay hain. Shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) par mukhtalif siyasi partiyoun aur tanzeemoun ke dharnay aur muzahiroun ke pesh-e-nazar Karnataka ke Manglore mein ahthyat ke tor par curfew ki muddat mein towsee ki gayi hai.

Karnataka ke chief secretary Rajnish Koel ne police director general aur police director general ki appeal par guzashta raat ek aalamia jari karkay Manglore shehar aur janoobi kanada zila mein 48 ghantoun ke liye internet khidmaat multawi kar di. Aalamia ke mutabiq social media plateform ke zareya afwahoun aur farzi paighamaat ki tashheer ko roknay ke liye ye qadam uthaya gaya hai.

Manglore ke police commissioner P.S. Harsha ne kaha ke mukhtalif maqamat se mili report ke mutabiq kayi jaghoun par toad phode aur atishzadgi ki gayi hai. Un waqeat ko phelnay se roknay aur aman qanoon banaye rakhnay ke liye curfew lagaya gaya hai. Unhoun ne kaha ke jumaraat ko muzahireen kayi jaghoun par mushtael hogaye aur police par hamla kardiya. Inhein muntesher karne ke liye police ko lathi charge karni padi aur firing bhi karni padi.

Pur-tashaddud muzahirey ke baad media se khitaab karte hue Dr Harsha ne kaha ke muzahireen ne thaanay par hamla kiya aur police waloun ko maarne ki koshish ki. Inhein roknay ke liye police ko karwai karni padi. Hamlay mein 20 se ziyada police walay zakhmi hue hain jin mein se kuch ko shadeed chouten ayen hain. Tashadud mein zakhmi 2 logoun ki hospital mein ilaaj ke douran mout hogayi. Unki mout ki asal wajah Post mortem ke baad maloom hogi. Police ke lathi charge mein sabiq Mayor Ashraf aur ek sahafi bhi zakhmi huva hai. –YTN STAFF