Monday, May 13, 2024
HomeIndiaKarnataka mein mazeed 14 baaghi arkaan-e-assembly ko speaker nay na ahal qarar...

Karnataka mein mazeed 14 baaghi arkaan-e-assembly ko speaker nay na ahal qarar diya

Bangalore : Karnataka assembly mein etemaad ke vote ke ek din qabal speaker R Ramesh kumar nay itwaar ke roz, congress aur janata dal  ke 14 baaghi arkaan-e-assembly ko party badal qanoon ke tehat itwaar ko na ahal qarar diya.

14 arkaan-e-assembly 23 July ko assembly mein mojood nahi they jab HD kumar swami aksariyat saabit karne walay they. inhen 6 voton se shikast hui thi.

MR Ramesh kumar nay janata dal ke teen arkaan-e-assembly sameit 14 baaghi arkaan assembly ko fori tor par na ahal qarar diya, is ke sath hi na ahal arkaan-e-assembly ki tadad badh kar 17 hogayi hai. assembly speaker nay guzashta hafta congress ke do aur ek azad rukan-e-assembly ko na ahal qarar diya tha.

Naye wazeer-e-aala BS Yedurappa ko peer ko reyasti assembly mein aksariyat saabit karna hai. un 14 arkaan-e-assembly ko na ahal qarar diye jane ke baad 225 rukni assembly mein kul 208 nishistain reh gayi hain. Yedurappa ko aksariyat saabit karne ke liye 105 arkaan assembly ki zaroorat padegi.

Riyasat mein 14 mah purani congress. JDS makhloot hukoomat karne ke baad, hukoomat bananay wali BJP ke 105 arkaan assembly hain aur party ko ek azad rukan assembly ki himayat haasil hai. –YTN STAFF