Sunday, April 28, 2024
HomeIndiaKarnataka mein firqa waranah siyasi partiyon nay SDPI ke khilaaf jhutay Propaganda...

Karnataka mein firqa waranah siyasi partiyon nay SDPI ke khilaaf jhutay Propaganda pehla rahe: Abdul Hanan

Bengaluru: Social Democratic Party of India ( SDPI ) ke Karnataka shakha reyasti General Secretary Abdul Hanan ne apne jari kardah akhbaari aalamia mein haliya Karnataka Bengaluru mein firqa waranah fasadaat mein SDPI ko nishana banaye jane aur jhutay Propaganda ke zariye party ko badnaam kiye jane ke khilaaf tafseeli wazahat aur haqayiq pesh karte hue kaha hai ke Bengaluru DJ Halli mein hue fasadaat ke peechay SDPI ka haath nahi hai. 11 August 2020 ek badmaash ne huzoor ﷺ  ki tauheen karte hue Social media par ek ihaanat amaiz post kiya tha. Is post ko dekhnay ke foran baad muqami SDPI rehnuma Muzammil Pasha ne DJ Halli police station mein shikayat darj ki aur is muamlay mein station ke andar hi police afsaraan se guftagu kar rahay thay. Isi waqt thaanay ke baher mushtael logon ka hujhoom jama hogaya aur naaray baazi shuru kar di thi jis par Muzammil Pasha aur deegar muqami SDPI rehnumao ne logon ko mutmaeen karne aur pursukoon karne ke liye sakht mehnat ki.

Riyasat ke awam ne is ki video tasaveer dekhi hain. Baad mein siyasi dabao mein aakar police ne aman ki khatir musalsal koshish karne walay SDPI rehnumao ko hi Bengaluru tashadud muamlay mein mulzimaan ki fehrist mein shaamil karliya hai. Is ke ilawa SDPI ke dafatir tak ko police ke zariye chhapa mara gaya. Police ke chhapa maarny ke baad kuch zaraye ablaagh ne SDPI daftar mein mohlik hathyaar daryaft honay ki jhooti khabrain bhi phailai. bikao media ne mann maani kahani tayyar karkay SDPI ke khilaaf jhoota Propaganda chalaya. Darasal fasadaat ke peechay reyasti hukoomat aur mehakma police ki mukammal nakami ujagar horahee thi. Is par parda daalnay ke liye aur sorat-e-haal ka faida uthany ke liye SDPI ko is muamlay mein khech laya gaya tha. Riyasat mein BJP hukoomat barsar Iqtidaar hai, Police aur Magistrate tafteesh jari rehtay waqt hi BJP ne’ haqayiq jaanch’ Nami drama karkay RSS aur BJP ke himayat Yafta logon ke zareya tayyar kardah report mein fasad ki zimma daari SDPI par daal diya hai. Lehaza hamari zimma daari banti hai ke hum un tamam sazishon ke peechay ke haqayiq ko logon ke samnay rakhen. SDPI reyasti general secretary Abdul Hanan ne SDPI party ke maqasid ka mukhtasir taaruf karte hue kaha hai ke Azad Bharat ki haqeeqi umangon ko poora karkay ek’ falahi riyasat’ bananay ke liye ek qabil aetmaad siyasi party ki hamaray mulk ko zaroorat hai.

SDPI ( Social Democratic Party of India ) is khalaa ko qabliyat ke sath pur kar rahi hai. Kyunkay SDPI ka maqsad’ Bhook se Azad. Khauf se Azad’ Bharat ki taamer aur mulk ke ayeen ko mustahkam karna, Haqeeqi jamhoriat qaim karna aur aam awam ko siyasi ikhtiyarat sonpna hai. SDPI ko musalsal badnaam kiye jane par Abdul Hanan ne tabsarah karte hue kaha hai ke mulk mein kuch TV aur Print media aur kuch siyasi partiyan SDPI ke khilaaf musalsal ghalat bayani karna aam si baat hogayi hai. Un ka maqsad jhoot ka pulanda bandh kar mann ghadat kahaaniyon ke zareya SDPI ko badnaam karna hai. Markazi aur reyasti BJP hakoomaten SDPI party ko dabanay ki shiddat se koshish kar rahi hai. SDPI ko nishana bananay ki wajohaat ka zikar karte hue Abdul Hanan ne kaha hai ke Manowadi qoum parasti ke zareya mulk ke awam mein nafrat, Tashadud aur inteshaar phelanay walay fastai sangh pariwaar ke khilaaf mulk bhar mein SDPI samjhota kiye baghair mazahemat karti hai. SDPI fastai quwatoon ke samaaj dushman hath kandon aur sazishon ko awam ke samnay zahir karkay nakaam karti hai. SDPI mulk ke awam ko munazzam karte hue ayeen aur jamhoriat se aagah karkay logon ko un ke haqooq ke husool ke liye ek Platform muhayya karti hai.

Azadi ke baad se iqtidaar mein baithi bud unwaan, Moroosi aur ghair ikhlaqi, Siyasi quwatoon ke hathon mein mojood Iqtidaar ko awam ko sonpnay ke liye SDPI entkhabat laddte hai. Jis ki wajah se SDPI mulk bhar mein marhala waar awaami himayat aur par umeed nataij haasil kar rahi hai. Yeh hamein badnaam karne wali vote bank ki siyasi partiyon ko hazam nahi ho raha hai. SDPI party ki badhti hui awaami maqboliat aur party ke badhatay qadam ko dekh kar khandani moroosi siyasi partiyon mein khauf peda ho raha hai. SDPI istehsal ke shikaar, Mazloom aur dubi kuchli qomon ke haqooq, Azadi aur insaaf ke liye himmat-o-jurrat ke sath awam dushman hukoomat aur taqaton ke khilaaf mulk geer jad-o-jehad karne wali party hai. Samaaj ko mazhab ki bunyaad par taqseem karkay mulk ki wahdat aur salamit ko darham barham karne wali fastai. Karnataka mein firqa waranah aur naqli secular quwatoon ke khilaaf SDPI kaam karti hai.

SDPI ehtijaj, Satyagrah tehreek, Muzahirey waghera ke zariye na-insafi aur zulm ke khilaaf aawaz ban kar awam ka aetmaad haasil kar rahi hai aur awam mein khud itmadi peda kar rahi hai. Isi liye mulk mein jad pakadney wali khud gharz, Taqseem pasand aur manowadi fastai taqaton ko SDPI ke nazriaat aur sargarmia bardasht nahi horahee hain. Lehaza jhooti aur farzi kahaaniyon ke zariye SDPI party ko badnaam karne aur samaaj se party ku alag karne ke liye woh sakht koshish kar rahay hain. SDPI mulk ke awam se aajizana tor par appeal karti hai ke woh manowadi fastai. Karnataka mein firqa waranah quwatoon aur bad unwaan siyasi partiyon ke zareya kiye jane walay jhutay Propaganda ko mustard karen aur haqayeq ki bunyaad par party ki himayat karen.