Thursday, May 9, 2024
HomeIndiaKarnataka ki BJP hukoomat nisabi kitaboun se Tipu Sultan se mutaliq asbaq...

Karnataka ki BJP hukoomat nisabi kitaboun se Tipu Sultan se mutaliq asbaq ko hatayegi

Bangalore: Karnataka mein BJP hukoomat school ke tareekhi, nisabi kitabon se 18 sadi ke Mysore ke hukmuran Tipu Sultan ke asbaq ko hataane par ghour kar rahi hai. zaraye ke mutabiq primaray aur middle taleem ke wazeer Saresh Kumar ne haal hi mein is taaluq se mehakma taleem se ek report talabb ki hai.

Tipu Sultan ( 1750-1799 ) junoobi hindustan mein is waqt ki Mysore riyasat ke badshah they. aur Bar tanoy hukmraanoun ke khilaaf silsila waar ladhaiyon mein futuhat ke baad 1799 mein Mysore ke qareeb waqay sri rangaptan mein chothi anglo Mysore jung mein unki mout hogayi thi.

Riyasat Karnataka ke wazeer-e-aala BS Yeddurappa ne chaharshambeh ke roz ek Ijlaas se khitaab karte hue kaha. ”ham ne pehlay hi 10 November ko tipu sultan ki salgirah taqreeb mananay se inkaar kardiya hai, kyunkay woh mutanazia hukmaran they aur mandiroun ki tabahi aur hinduo ko harasan karne mein mulawis they. Tipu Sultan se mutaliq asbaq school ki darsi kutub mein nahi hona chahiye, lehaza hum unko jari rakhnay ki ijazat nahi denge.

karnataka hukoomat ki janib se riyasat bhar mein Tipu jayanti mananay par pabandi laganay aur Tipu Sultan se mutaliq school ki tareekhi kitabon mein se asbaq ko hataane ke elaan ki opposition jamaat congress ne sakht mukhalfat ki hai.

Congress ke senior rehnuma wo sabiq reyasti wazeer-e-aala ne kaha ke ”Bad-qismati ki baat hai ke BJP hukoomat ne Tipu Sultan ki asbaq ko kitaboun se hataane aur vote bank siyasat ke nazriati agenday ke hissay ke tor par Tipu Sultan ki saalgirah manana band karne ka faisla kiya hai, halaanke woh azaadi ke liye angrezoun se ladhne walay pehlay Mujahid azaadi they “. –YTN STAFF