Tuesday, May 14, 2024
HomeIndiaKarnataka ke Schools may Dance per Paabandi

Karnataka ke Schools may Dance per Paabandi

Karnataka : Karnataka hukumat ne schools talba may akhlaaq aur kirdaar ko parwan chadhanay ke liye schoolon mein har saal munaqqid hone wale saalana jalson may filmi gano aur dance par pabandi laga di hai .

Is silsile may Karnataka ke mehakma taleem ne ehkamaat jari karte hue riyasat bhar ke schoolon ko hidaayat di hai ke woh –apne salana jalse may filmi ganay aur dance ke programme se ijtinab kare.

Hukumat ka kehna hai ke school ke salana jalsay ke douran jo cultural programme munaqqid hote  hai  un may aise filmi gane aur dance hoti hai jo bachon ke akhlak aur kirdaar ko kharab kar rahay hain aur un ki sonch may tabdeeli aa rahi hai

Schools  ko paband kardiya gaya hai ke woh salana jalsay mein Cultural programme ko munaqqid karne ijazat le.

Karnataka ke is iqdaam se tamam riyasat ke schoolon ne bhi is ko misbat-e- qadam kaha hai aur taleem ke is gehwaare  may bachon ko akhlaaqiat sikhana chahiye na ke ghair akhlaqi cheezon ko parwan chadhana chahiye.

Dusre riyasat ke awam ne bhi kaha ke bohat jald tamam riyasato may bhi schools k bachon may dance ka programme ko khatam kiya jaye ga .