Friday, May 10, 2024
HomeIndiaKarnataka ke Bellary zila mein corona se marnay waloun ki ghair mohazab...

Karnataka ke Bellary zila mein corona se marnay waloun ki ghair mohazab tadfeen ka waqea insaaniyat soaz. SDPI

Bangluru: Social Democratic Party of India ( SDPI ) Karnataka shakha ne Bellary zila mein corona se marnay waloun ki intahi ghair mohazab tadfeen ke waqea ki shadeed muzammat karte hue usay insaaniyat soaz qarar diya hai. Is saneha par afsos ka izhaar karte hue SDPI reyasti general secretary Abdul Hanan neh kaha hai ke ye waqea insaaniyat par daagh hai. Unhoun neh kaha hai ke is waqea se muashray mein shadeed khauf o haraas phail gaya hai aur corona ke mutasireen ko munasib sahuliyaat faraham karne mein Bellary zilai intizamia aur reyasti hukoomat buri terhan nakaam huvi hai. Unhoun ney awam se mutalba kiya hai ke wo is la parwahi ke khilaaf muttahid hokar ehtijaj karen jis mein bad unwaan intizamia ke zareya insanoun laashoun ki ghair mohazab tadfeen ki gayi hai.

SDPI reyasti general secretary Abdul Hanan ney is baat ki taraf khusoosi nishandahi karte hue kaha hai ke COVID wabai marz riyasat Karnataka mein taizi se phail rahi hai aur Hospitals mein COVID ke mareezoun ko dakhlay se inkaar ke mutadid aqaat riyasat bhar se masool ho rahay hain. Sarkari Hospitals mein afratafri ki it-tila-aat hain. Is se ye saaf zahir hota hai ke wabai marz par qaboo panay aur ilaaj karne par hukoomat ki tavajja intehai na kafi hai. Jabkay hamari riyasat 7 crore abadi par mushtamil hai aur riyasat mein wabai bemari wasee pemanay par phail rahi hai. Hukoomat tamam misbet mamlaat ke liye mazeed sarkari Hospitals, Beds, Tibbi saaz-o-saman, Tibbi amlah, Hospitals ki tadaad badhaane aur mazeed tibbi sahuliyaat waghera ka bandobast karne ki koshish nahi kar rahi hai.

Is ke bajaye hukoomat mareezoun ko private Hospitals ko bhejnay ka kaam kar rahi hai aur hukoomat ka ye iqdaam bilkul ghalat hai. Is se ghareeb aur mutwast tabqay ke logoun ke sath intehai na-insafi hogi aur hukoomat ka is marz par qaboo panay mein nakaam honay ke imkanaat bhi badh jayen ge. SDPI reyasti general secretary Abdal Hanan ne is baat par zor day kar kaha hai ke wabai marz se ladnay aur qaboo panay ke liye awam ki taraf se Chief Minister Fund mein 291 crore rupiye jama huve hain. Hukoomat ko chahiye ke wo is fund ko logoun ke ilaaj ke liye istemaal karte huve logoun ko muft aur aala tibbi ilaaj muhayya karna kere. Sarkari Hospitals aur is ki sahuliyaat mein izafah kere. Hukoomat is baat ko yaqini banaye ke mareezoun ke ilaaj ke douran un ke sath ghaflat, Imtiazi sulooq, Istehsal, Dhamki aur la parwahi waghera nah hopaye. Abdal Hanan ne hukoomat ko mutnabba kiya ke usay riyasat ke har mareez ke liye muft aur behtareen tibbi ilaaj ko yakeeni banana chahiye.