Monday, May 13, 2024
HomeIndiaKarnataka ke baad Telangana mein siyasi bohraan ka khadsha

Karnataka ke baad Telangana mein siyasi bohraan ka khadsha

Hyderabad: Karnataka mein jo siyasi natak hua is ke baad riyasat-e-Telangana mein bhi siyasi mahol badalta dikhayi day raha hai kyunkay maazi mein Andhra Pradesh riyasat ki taqseem aur Telangana ki tashkeel ke baad congress aur TDP ki jo qaideen bar sir iqtedar TRS mein shaamil hue they ab woh is party mein khud ko Aram da mehsoos nahi kar rahay hain aur phir ek martaba jamaat tabdeel karne ka zehan bana rahay hain aur is martaba yeh qaideen BJP ka intikhab kar sakte hain. zaraye ke mutabiq MLAs, MPs aur MLCs jo kay deegar jamaaton se TRS mein shaamil hue they ab inhen apna mustaqbil BJP mein dikhayi day raha hai. doosri jamaatoun se TRS mein shaamil honay walay qaideen ab barasar iqtedar jamaat ko khairabad kehte hue BJP mein apna mustaqbil talaash karne ki koshish kar rahay hain.

Mehboob nagar, Ranga Reddy, Nalgonda aur deegar azlaa ke TDP qaideen kisi bhi lamha BJP mein shaamil hosakte hain. doosri janib yeh bhi haqeeqat hai ke BJP congress aur TDP se TRS mein shaamil honay walay qaideen ko apni jamaat mein shaamil karne par sanjeedgi se ghour kar rahi hai lekin usay congress ke qaideen ka intezaar hai jo BJP mein shaamil honay ka zehan nahi banaya hai.

Congress MLA Raj Gopal reddy BJP mein shaamil honay ke khwaahan hain lekin woh congress ki leadership ki janib se ki jaanay wali karwai aur assembly se moattal kiye jaanay ke khadshaat ki wajah se fouri koi qadam nahi utha rahay hain. zaraye nay yeh bhi kaha hai ke BJP wohi hikmat-e-amli ikhtiyar karne ka zehan bana rahi hai jo maazi mein TRS nay hikmat-e-amli ikhtiyar karte hue congress ke qaideen ko apni jamaat mein shaamil kiya tha.

Is kaam ko anjaam dainay ki zimmedaari BJP general secretary Ram mahav ko di gayi aur woh congress ke qaideen ko BJP mein shaamil honay ki targheeb day rahay hain. is maqsad ke husool ke liye unhon nay congress qaid raj gopal reddy ko yeh saalis banaya hai aur unse kaha hai ke woh jahan taq hosakay congress ki qaideen ko BJP mein shaamil karne ki koshish karen aur jitna mumkin hosakay itni tadaad mein congress ki qaideen ko BJP mein shaamil karen. BJP ko 4 MLAs ki zaroorat hai jis ke zariye woh CLPP se BJLP mein tabdeel hosakti hai kyunkay is waqt BJP ke paas Raja singh wahid MLA hai lekin woh chahti hai ke har mumkina koshish ke zariye apne arkaan-e-assembly ki tadaad mein izafah karte hue Telangana mein apne muaqqaf ko mustahkam kar sakay.

BJP qaideen ki janib se maazi mein pehlay hi yeh kaha ja chuka hai ke BJP high kamaan nay Telangana mein apne muaqqaf ko mustahkam karne par tamam tar tawajah markooz kar chuki hai aur is ke liye reyasti BJP qaideen ko makhsoos umoor diye gaye hain jis mein mein TRS mein shaamil deegar jamaaton ke arkaan-e-assembly ko BJP mein shaamil karne ka ka zimma bhi shaamil hai. –YTN STAFF