Sunday, April 20, 2025
HomeSliderKarishmaati Bhai Beha, Sameer aur Sania mein Bulb ko chhokar roshan karne...

Karishmaati Bhai Beha, Sameer aur Sania mein Bulb ko chhokar roshan karne ki heran kun salahiyat

Hyderabad: Heran kin waqhiyat aur karshime aaj bhi rehnuma hotay hain jaissa ke Adilabad mein 8 sala Sameer aur is ki choti Behan is waqt media aur awam ki tavajju ka markaz hain kyun kay yeh Bhai Behan jab kisi bhi LED Bulb ko apne jism ke kisi bhi hissay par rakhtay hain to woh Bulb roshan ho jata hai. yeh karishmati bachay zeerat shobay se talluq rakhnay walay mazdoor Sheikh Chand Pasha ki aulaad hain hain. Kudh Chand Pacha ko bhi is karishma ka ilm nahi tha ke un ke bachon mein barqi mojood hai ab jabkay ke Sameer aur Sania karishmati bachay ban chuke hain to woh Adilabad se le kar aalmi shohrat Yafta afraad ban chuke hain aur un ke ghar ke samnay awam aur media ka aik selaab umadd pada hai.

Shaikh Chand Pasha ko bhi apne un karishmati bachon ki taajjub khaiz salahiyat ka andaza is waqt huwa jab Chand Pasha nay ghar mein istemaal ke liye aik LED Bulb ghar laaye aur Sameer hadsati tor par is bulb ko chhuliya lekin Sameer ney jab bulb ko jaisay hi chuva to woh bulb roshan ho gaya jisay dekh kar Chand Pasha heyraan hogaye phir unhon ney apne betay ko bulb jism ke mukhtalif hisson par rakhnay ki hidaayat di aur jab Sameer jism ke jis hissay par bhi bulb rakhta woh roshan ho jata, inhen yeh dekh kar kaafi taajjub -huwa jis ke baad unhon nay sameer ki choti Behan Sania ko bhi talabb kya aur kaha ke woh bhi bulb ko chovay lekin jaisay hi Sania nay bulb ko chuva to manzar mazeed heran kun tha kyun kay jaisay hi Sania ney bulb ko chuva to bulb roshan hogaya .

Dekhte hi dekhte is waqea ki haqeeqat jungle ki aag ki terha muqami ilaqay mein phail gayi jis ke baad muqami media numaindon ki aik badi jamaat Chand Pasha ke ghar ke samnay khadi ho gayi. Har media numainda yeh tasdeeq karna chahta tha ke kahin yeh ittafaq to nahi jis ke liye kayi afraad nay apne gharon se bulb mangwa kar Sameer aur Sania ko dena shuru kiya aur inhen chhu ne ki hidaayat di aur yeh dono Bhai Behan jab kisi bhi bulb ko chutay hain to woh roshan ho jata hai. Kayi afraad ney is karshime ki toseeq karne ke liye qareeb ki dukanon se LED Bulb mangwa kar Sameer aur Sania ko na sirf chone ki sifarish ki balkay un ke jism ke jis hissay par bhi bulb lagaya jata woh foran roshan ho jata. Baherkaif Sameer aur Sania is waqt awam aur media ki tavajju ka markaz ban chuke hain.