New Delhi: Hindustan Cricket team ke sabiq Captain Kapil Dev jo dil ka dora padney ke baad dawakhana mein daakhil hue thay unhoun ne apni sehat ke baray mein taaza maloomat faraham karte hue kaha hai ke un ki sehat mein behtari horahee hai. Pehli martaba 1983 mein apni captani mein Hindustan ko aalmi champion bananay walay Kapil ko dil ka dora pada tha aur dar-ul-hukoomat Delhi ke ek dawakhana mein Angioplasty Surgery karwai gayi. Yaad rahay ke jummay ko der raat Kapil Dev ko seenay mein dard huwa tha, Jis ke baad woh raat ke 1 bajey Okhla ke forts dawakhana puhanche.
Fortis ke jari kardah ek bayan mein bataya gaya hai ke Kapil Dev ko seenay mein dard ki shikayat thi. Yaad rahay ke jis waqt 62 sala Kapil Dev ko dawakhana se rujoo kiya gaya tha to Department of cardiology ke Dr Atwal Mathur ne unki tashkhees ki aur unhoun ne is raat mein hi Kapil Dev ki Angioplasty surgery ki. Kapil Dev ne Tweet kiya aap sabhi ki mohabbat aur duan ka bohat bohat shukriya. Mein aap sabhi ka shukar guzar hon ke meri sehat ke liye dua ki. Mein ab theek horha hon.
Qabil zikar hai ke Cricket ke legend Sachin Tendulkar, Hindustani Captain Virat Kohli, Sabiq Cricketer Gautam Gambhir, Congress rehnuma Shashi Tharoor, Sabiq Cricketer Irrfan Pathan, Commentator Haresh Bhogle, IPL team Rajasthan Royals ke of spinner Ravichandran Ashwin aur Kapil Dev ke anginat madahon ne un ko jald sehat yab honay ki dua ki thi.