Tuesday, May 7, 2024
HomeSliderKapdey par kadhai ka Quran pak, nuskha ab al- Quran al Karim...

Kapdey par kadhai ka Quran pak, nuskha ab al- Quran al Karim Museum ki zeenat

Quran

Madinah Munawwara. Punjab Pakistan ke shahar Gujrat ki khatoon Naseem Akhtar ney duniya bhar mein apni noiyat ka Quran pak ka munfarid nuskha Madinah Munawwara ko tohfa ke taur par paish kar diya. Yeh Quran pak ka aisa nuskha hai jisay na to qalam se likha gaya hai na is ki tayari mein roshnayee istemaal huwi hai aur na hi koi aur tehreeri maadah istemaal kiya gaya hai. Quran e pak ka yeh kaamil nuskha Pakistan ki Naseem Akhtar ney 35 baras mein tayyar kiya. Unhon ney 1987 mein kapdey par kadhai ke zareya ayaat likhna shuru kiya tha aur 2018 mein usay mukammal kiya. Unhon ney Quran pak ka aik aik harf bawazu rah kar raat ke pichlle pehar mein tayyar kiya. Unhon ney Hajj ke mauqa par Quran pak ka yeh nuskha Madinah Munawwara ke al Quran alkarim ajaayeb ghar ko tohfay ke taur par paish kiya. Zimma daraan ney geherai aur geerai se jayiza le kar usay Museum mein numayesh ke liye rakh diya. Qareeb se dekhney par hi pata chalta hai ke Quran kareem haath se nahi balkay kapdey par kadhai ke zariye tayyar kiya gaya hai. Naseem Akhtar ke haath se kapdey par kadhai se likhe gaye Quran Majeed ki 10 volumes hain aur har volume mein Quran e Majeed ke teen sepaare hain. Naseem Akhtar ka kahna hai ke unhen khushi hai ke unhon ney 32 saal qabl jis muqaddas kaam ka beda uthaya tha woh mukammal kar liya. Unhon ney kaha ‘mein ney 32 saal bawazo waqt guzaraa. Jab mein Quran e Majeed haath se kapdey par kadhai kar ke likhna shuru kiya to yahi socha tha ke Quran Majeed ke iss naadir nuskha ko mein Madinah shareef ki library mein le kar jaoongi’. Aur un ka yeh khawab poora hogaya. Naseem Akhtar ney bataya ke woh Quran e Majeed jis kapdey par kadhai kar ke likhtien woh kapda khusoosi taur par Faisalabad se mangwaati theen. Naseem Akhtar ney daawa kiya ke Quran e Majeed ka aisa nuskha duniya bhar mein kahin bhi maujood nahi lehaza un ka yeh karnaama Guinness Book of World Records mein shaamil kiya jaye. Kapdey par kadhai kar ke likhe gaye Quran Majeed ka kal wazan 55 kilo gram hai jabkay is ki har jald ki 22 inch lambai aur 15 inch choraai hai. Quran Majeed ke kal safhaat 724 hain jabkay kadhai ke liye kalay aur gulaabii rang ke dhaagay ke 84 dabbay istemaal kiye gaye hain.