Ottawa: Kapday ke Mask Coronavirus se honay wali bemari COVID-19 ko phelnay se roknay mein mo-asar saabit ho saktay hain kyunkay wo 99 feesad virus zarraat ko rokk dete hain.
Ye baat Canada mein honay wali ek tibbi tahaqeeq mai samnay aayi. McMaster University ki tahaqeeq mein aisay shawahid pesh kiye gaye jin mein kapday se banay aam Face Masks ko coronavirus ki rokk thaam ke liye mo-asar qarar diya gaya, Khusosan aisay Mask jin mein soti kapday ki kayi tahein istemaal ki gayi hon, Jo virus zarraat ko mahol mein phelnay se roknay mein madad deti hain.
Mohqiqeen ne kaha hai ke ahem nuqta ye nahi ke kuch zarraat mask mein daakhil ho jatay hain balkay ye hai ke kuch zarraat ruk jatay hain, Khaas tor par wo jo mask pahannay wala khansi aur chheenk ke zariye kharij karta hai. Unhoun ne kaha ke misali sorat e haal mein to hum aisay mask ka istemaal chahtay hain jo dono atraaf kaam karta hon, Yani pahannay walay ko mahol se bacha kar virus zarraat ko huwa aur saftah par phelnay se rokta ho.
Is tehqeeq mein dahaiyo puranay shawahid samait naye data ka tajzia kiya gaya aur aise thos saboot daryaft kiye jin se saabit hota hai ke kapday aur kapday se banay mask huwa aur satah mein gems ki aloodgi ki sharah kam karta ho. Science danoun ne kaha ke nataij se saabit hota hai ke kapda virus zarraat ko block karsaktha hai yahan tak ke kuch baday zarraat ko bhi rokta hai. Tehqeeq ke nataij jareeday Analyzed Of Internal Medicine mein shaya huve. 1960 aur 70 ki dahaiyo mein science danoun ne jaiza liya tha ke kiya kapday se banay mask pahannay walay se hatt kar deegar ko tahaffuz faraham karta hai.
Ek Commercia Mask umooman soti kapday ki 4 tahoon se bana jata hai jo 99 feesad tak zarraat ko rokta hai balkay ye Medical mask jitna hi mo-asar hota hai. Canada ke Scientist ne kaha ke hamara kaam to ek paicheeda muamay ka ek tukda hai, Ahem baat ye hai ke mask banatay huve is mein jitni tahoon ka izafah kiya jayega, Andar aur baher tahaffuz itna ziyada hoga lekin is se saans lena mushkil hojayega, Yahi wajah hai ke 2 saal se kam omar bachoun aur saans lainay mein mushkilaat ka saamna karne walay afraad ko mask nah pahannay ka mashwara diya jata hai.
Unhoun ne mazeed kaha ke ye jan-nay ke liye mazeed tahaqeeq ki zaroorat hai ke kapday ke masks ke liye konsa material aur Design behtareen saabit ho sakta hai, Jis se beshtar afraad ko khud mask tayyar karkay apne pyaaroun ko mehfooz rakhnay mein madad mil sakaygi. –YTN STAFF