Monday, April 21, 2025
HomeJurmKamlesh Tiwari qatal case : post mortem report mein hue kayi inkishafaat

Kamlesh Tiwari qatal case : post mortem report mein hue kayi inkishafaat

Lucknow : Hindu Samaaj Party ke sadar Kamlesh Tiwari ke qatal case ki post mortem report aagai hai, jis mein is wehshiana andaaz ka inkishaaf hua hai, jis mein iska 18 october ko qatal kiya gaya tha. report mein bataya gaya hai ke tiwari par 15 baar chaakhu se waar kiya gaya tha, iske chehray par goli maari gayi aur is ke galay ko kaatnay ki koshish ki gayi thi. hamla aawar nahi chahtay they ke kisi bhi haalat mein woh zindah na rahay. UP police ki khusoosi team kamlesh tiwari qatal case ki tehqiqaat kar rahi hai.

Hamla awaroun ne is baat ko yakheeni bananay ke liye usay goli maardi ke woh hamlay mein zindah na bachay. iske chehray per goli lagi thi aur doctoroun ne iske post mortem karkay khopdi ke pichlle hissay mein 0.32 goli nikaali hai.

Is muamlay mein ab tak saat afraad ko giraftar kiya ja chuka hai. UP police ki khusoosi team ko is waqt ek ahem pishrft hui jab Gujrat ke ATS ne inhen phone kiya aur bataya ke unhon ne un do mobayyana qatilon ko pakda hai, jo is muamlay mein mafroor they. dono hamla awaron Moin uddin pathan aur Ashfaq , gujrat ke zila sourat ke rehne walay hain. aur dono ki giraftari gujrat aur rajasthan sarhad ke qareeb shimla se hui.

Ashfaq Maroof medical firm ke sath tibbi numainday ke tor par kaam karta hai aur moin uddin food delivery boy ke tor par kaam karta hai. police ki technical team mulzimin ke apne kumba ke afraad se rabita karne ki koshish ki to unka location maloom kar liya gaya. aur un ki giraftari amal mein aayi. –YTN STAFF