Sunday, September 15, 2024
HomeOthersPublic InterestKam Umri ki shadiyoun mein housla Afza kami

Kam Umri ki shadiyoun mein housla Afza kami

New York: Junoobi Asia mein kam Umri ki shadion ke hawala se aqwam-e-mutahidda ki ek report mein bataya gaya hai ke khitta mein is Umar ki shadion ki sharah 59 feesad se kam hokar 30 feesad hogayi hai. UNICEF ki janib se convention ND rights of child ke 30 saal mukammal honay par jari ki gayi jo tareekh mein insani huqooq ka wasee tareen moahida hai.

Report mein guzashta 30 barson mein duniya bhar ke bachon se mutaliq tareekhi kamiyaboun ko ujagar kya gaya lekin yeh nishandahi bhi ki gayi aksar ghareeb tareen bachon taq is ke smrat nahi puhanche. guzashta 3 dahoun mein primaray school ki taleem se mahroom bachon ki tadaad mein 40 feesad se zayed kami aayi hai. 30 baras qabal polio ke nateejay mein rozana ek hazaar bachay mazoor ya jaan bahaq ho jatay they, aaj un mein se 99 feesad mamlaat ka khtama kya ja chuka hai.

Taham report mein bachon ke haqooq ke khaas tor par kamzor tabqay ke hawalay se numaya rukawaton ki bhi nishandi ki gayi, paanch baras se kam Umar 15 hazaar bachay ab bhi un bimaroun ko shikaar hokar marjate hain jin mein ziyada tar amraaz qabil ilaaj hain aur deegar ki rokkk thaam ke asbaab mojood hain.

Isi tarhan duniya bhar ke bachon ki baqa aur kamiyabi ke naye khatraat jaissa ke mosmyati tabdeeli aur online darane ya dhamkion ka bhi saamna hai. report mein bachon ki sehat aur zindagi ko taleem taq rasai aur khatarnak awamil se bachon ke tahaffuz mein izafay ke jaizay par mabni hawalay se kamyabion ki nishandahi ki gayi. 1990 mein primaray school ki amrke 20 feesad bachay school nahi jatay they ab yeh tanasub aalmi satah par 10 feesad se bhi kam hai. primaray taleem tak rasai mein sanfi farq Africa , mashriq wasti aur janoobi asia ke ilawa aksar mumalik mein barray pemanay par khatam hochuka hai .

isi terhan bachon ke haqooq ke hawalay se naye khatraat bhi samnay arhay hain aur walidain mamool ke hifazati tikon ki ahmiyat par bhi shak kar rahay hain. ilawa azeen deegar challenges mein aksar hukoomaton aur awam ke darmain bachon ke haqooq ke hawalay se itminan, junoobi asia aur Africa ke kam aur Mutwast amdan ke mumalik mein nojawan afraad ki abadi mein izafah shaamil hai. report mein primaray taleem mein izafay ko guzishta 3 dahoun mein bachon aur nojwanon ke mutaliq ahem kamyabi ke tor par nishandahi ki gayi hai. –YTN STAFF