Monday, April 29, 2024
HomeSliderKam aamdani walay afraad ameer logoun se shadi karen to gurbat duur...

Kam aamdani walay afraad ameer logoun se shadi karen to gurbat duur hogi

Indonesia ke wazeer ka mutanazia bayan

Jakarta: Indonesia ke wifaqi wazeer baraye saqafat Muhadjir Effendy ne ek dilchasp lekin mutanazia tajweez pesh ki. Unhoun ne kaha hai ke kam aur darmiyani aamdani walay afraad agar ameer logoun se shadi kar len to is se mulk mein gurbat ki sharah kam ho jaye gi.

Duniya mein sab se ziyada Muslim abadi walay mulk ke wifaqi wazeer ne mazeed kaha hai ke shadi ke liye hum palla jooday ke mazhabi pegham ko aksar ghalat samajh liya jata hai. Jakarta main ek taqreeb se khitaab karte hue Muhadjir ne kaha agar ghareeb log shadi bhi ghareeboun hi mein karen to kiya hoga? ghareeb kunbe mazeed badh jayen ge. Indonesia ka yahi masla hai.

Dotahai doulat ameer tareen afraad ke qabzay mein chali jaye gi. Ameeroun aur ghareeboun ke mabain shadi ke muamlay ko farogh dainay ke liye Muhadjir ne ye tajweez bhi dedi ke is zimn mein mulki mazhabi umoor ki wizarat ek Fatwa bhi jari kere jis mein kaha jaye ke ameeroun ko shadi ke liye ghareeb talaash karna chahaiyn aur ghareeb ko shadi ke liye ameer saathi talaash karna chahiye.

Indonesia mein kuch Social Media sarfeen ne wifaqi wazeer ki tajaweez ki tareef ki lekin kayi sarfeen ne inhen shadeed tanqeed ka nishana bhi banaya. Ek sarif ne likha, dekhte hain ke kya wazeer sahib apne bachoun ki shadi kisi doosri classe ke khandan mein karne par razamand hon ge?

Wajeeh nami ek khatoon ne likha, Jadeed duur ke masail ka hal bhi jadeed hona chahiye.Masna nami ek khatoon ne mulki sadar ke Twitter handle par likha, Aap ki kabeena ke sath masla kya hai, Gurbat kam karne ke liye ameer aur ghareeb ki shadi ke liye Fatwa jari karna ehmaqana mashwara hai, Is ke liye koi dosra lafz istemaal nahi kiya ja sakta. –YTN STAFF