Monday, April 29, 2024
HomeIndiaKalkata mein Theatre fankaroun ne CAA ke khilaaf ehtajaji March nikala

Kalkata mein Theatre fankaroun ne CAA ke khilaaf ehtajaji March nikala

Kalkata: Mulk bhar mein shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ), National Register of Citizenship ( NRC ) aur National Population Register ( NRP ) ke khilaaf par zor ehtijaj jari hai. Is ehtijaj mein khawateen bhi shaamil ho gayi hain aur un qawaneen ke khilaaf ehtijaj kar rahay hain, Ehtajaji March nikalay ja rahay hain.

Un qawaneen ke khilaaf mukhtalif shoba hayaat se talluq rakhnay wali shakhsiyatoun ne ehtijaj karkay apni narazgi ka izhaar kiya hai, Aur un qawaneen ko aeen ke khilaaf batatay hue, Usay mulk ke awam ke khilaaf imtiazi sulooq qarar diya hai. Ab un qawaneen ke khilaaf fankar o adakar bhi uth khaday hue hain.

Kalkata mein, Theatre ki senkdoun shaksiaat ne jummay ke roz shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) ke khilaaf, Apne hathoun mein qaumi parcham thaamay, Shehar ki sadkoun par ehtajaji March nikala. Unhoun ne is qanoon ko logoun ko takseem karne ki saazish qarar diya. Drama nigaar, Theatre Director, Adakar, Zaeef o nojawan shakhsiyatoun ne Rashbehari Mukta Angan se leker Academy of Fine Arts tak ehtajaji March nikala aur is mutanazia qanoon ke khilaaf mulk ki talba tehreek ki himayat ki.

Is mauqa par, Theatre adakar  Paran Bandopadhyay ne kaha ”Qaom bohraan ka shikaar hai. wo loog jo logoun ko beedar karne ke liye asri tanazur mein ganay likhte hain, Wo mustakbil ke naqsh-e-qadam ko sun satke hin“.

thespian Bivas Chakraborty ne kaha ”har ek ko lagta hai ke ye qanoon logoun ke liye achha nahi hai. ye logoun ko takseem karne ki ek saazish hai. Muzahireen ne ek banner thaama tha, Jis par likha tha ”koi NRC nahi hai “Koi NRP nahi, Koi CAA nahin“ Tehreer tha. –YTN STAFF