Monday, April 21, 2025
HomeLatest NewsKaleshwaram project par 80,000 crore Rupay ka kharch, ek acre zameen ko...

Kaleshwaram project par 80,000 crore Rupay ka kharch, ek acre zameen ko bhi nahi mila pani : Congress

Hyderabad : TPCC sarbarah Uttam Kumar Reddy ne peer ko kaha ke woh awam ke paisoun ke tahaffuz ke liye ek zimmedaar opposition siyasi jamaat ka kirdaar nibha rahay hain.

Media par bhi isi tarha ki zimmedaari hai. Uttam kumar ne Adilabad ke tummidihatti  reservoir mein media numaindon se khitaab karte hue yeh baat kahi. unhon ne kaha ke is project ka iftitah ghair munqasim shuda Andhra Pradesh ke wazeer-e-aala ne kiya tha.

Unhon ne ilzaam lagaya ke wazeer-e-aala K Chandra shekhar rao ne saal 2014 mein Iqtidaar par Faiz honay ke baad se is project ko radd kar diya gaya hai.

Uttam kumar ne mazeed kaha ke KCR maharashtra gaye they aur apne hum mansab se kaha tha ke woh tummidihatti  project 148 meter ke sath taamer karenge.

Unhon ne wazeer-e-aala se poocha ke woh is project ke liye kyun raqam kharch nahi kar rahay hain. unhon ne riyasat ke hukmraanoun par Kaleshwaram project ki tamir ke zareya 80, 000 crore Rupay zaya karne ka ilzaam lagaya, aur wazeer-e-aala se poocha ke kiya unhon ne aab paashi projects ke zareya ek acre zameen ko bhi sairaab kiya hai.

CLP rehnuma Mallu Bhatti Vikramarka ne kaha ke unhon ne ghair munqasim Andhra Pradesh mein purana Pranahita Chevella Lift irrigation project ke liye 10 hazaar crore Rupay kharch kiye hain aur kaha ke 28, 000 crore Rupay kharch karkay zameen ke mujawaza ilaqay ko sairaab karna hoga. unhon ne kaha ke bohat kam raqam kharch karkay tummidihatti  project mukammal kiya ja sakta hai.

Unhon ne yeh bhi ilzaam lagaya ke reyasti hukoomat ne is ko dobarah design karne ke naam par awaami raqam zaya ki hai. unhon ne wazeer-e-aala se poocha ke kiya unhon ne Kaleshwaram project ke iftitah ke baad ek acre par zameen ko bhi pani faraham kiya hai?

CLP rehnuma ne markazi hukoomat se mutalba kiya ke woh is maamla ki jaanch partaal CBI ke zareya karwaye. –YTN STAFF