Thursday, May 2, 2024
HomeHyderabadKalapathar ilaqay mein kachray ka Dhair, awam pareshan, mutaliqa ohdedaron par shikayat...

Kalapathar ilaqay mein kachray ka Dhair, awam pareshan, mutaliqa ohdedaron par shikayat be-asar

Hyderabad: Shehar-e-hyderabad ke Mashoor muhallay kalapathar ke ilaqay Basharat nagar ke rehaishion ko is waqt saans lena bhi dushwaar hochuka hai. Uska hargiz ye matlab nahi hai ke is ilaqay mein corona ke mareezon mein izafah ho raha hai aur inhen saans lainay mein dushwari horahee hai baalkay hai. Is maslay ko hal karne ke liye awam ne GHMC ke ohdedaron se mutadid martaba rabita qaim kiya lekin har koshish rayegaan gayi hai.

Is ilaqay mein khaali jagah par kachray ka samaan pheink diya gaya hai. har guzarte din ke sath kachra ka dher buland horaha hai. Aas Paas ke rehaishion ne mutala hukkaam se iski shikayat ki. Ilaqa makeeno ne greater hyderabad municipal corporation (GHMC) ke khilaaf koda cirket akhatta karne mein nakami par barhami ka izhaar kiya. Unka daawa hai ke pichlle ek mahinay se kachray ka dhair laga hua hai aur unke ilaqay ki beshtar sadkain kodey daan se dhaki hui hai. Unhon ne ilzaam lagaya ke mutadid shikayaat ke bawajood kachra saaf nahi kiya gaya.

kodey daan ki mojoodgi aur gandi bo se pareshan shehri hukkaam se shikayat karte hue tang aachukay hain kyunkay ek mah se unki taraf se koi jawab nahi mila hai. Muqami makeeno ke mutabiq kachre mein izafay ka matlab kutton aur maweshion ki badi tadaad ki moujoodgi bhi hai. Woh kachray ko sadak par ghasetetay hain aur poori gali mein gandagi pheilatay hain. kachray ganndi se badbu aa rahi hai. Is par machar, makhi aur deegar keeron mein izafah hua hai.

Is mauqa par muqami karkun maqsood ne kaha ke GHMC ke muqami ohdedar awaami shikayaat ko nazar andaz kar rahay hain. Yeh baat kuch din se mushahida kiya gaya hai ke GHMC ohdedar GHMC app ke zariye logon ki taraf se darj shikayaat ka jawab nahi day rahay hain. Is se qabal is per fori karwai ki gayi thi.

Basharat nagar mein ranjan colony road ke rehaishi 32 sala saleem khan ne kaha ke yahan tak ke agar mera makaan is sadak se thoda sa door hai jahan kodey ke dhair lagey hain is kodedaan ki wajah se badboo aati hai. Jab bhi hum is sadak ko uboor karte hain to yeh lamha hamaray liye kaafi pareshan kin hota hai. badboo aa rahi hai aur sadak kodey se bhari hui hai aur chalne ki koi jagah nahi hai. hum shikayat karte hue thak chuke hain kyunkay mutadid shikayaat ke bawajood kuch nahi badla hai. Jab rahaishion ne peer ko twitter par dobarah shikayat ki to GHMC ne sirf itna kaha ke woh mutaliqa ohdedaron ko aagah karenge.