Tuesday, May 14, 2024
HomeHyderabadKai ka Lockdown, Hyderabadi awam ki be hisi

Kai ka Lockdown, Hyderabadi awam ki be hisi

Hyderabad: Kai ka Lockdown, ye Hydrabad ke kuch bashinday ka Lockdown ke qawaid kay khilaaf honay wala tarz amal hai aur wo istarah COVID-19 ke wabai amraaz ke douran khod ko aur dosroun ko bhi khatrah mein daal rahay hain. Agarchay Hyderabad City Police ne awaami naqal o harkat par pabandi ayed kardi hai, Lekin subah 6 bajey se shaam 7 bajey tak aaraaam da aur pursukoon waqt ke douran mutadid Motorcycles sadkoun par nikal atay hain aur ziyada tar afraad mamoli wajohaat ki bana par baher adhay hain. Police ki janib se aisay khilaaf warzi karne waloun par ziyada se ziyada muqadmaat darj kiye janay ka un logoun par koi assar nahi pada raha hai. Gachibowli, Madhapur, Miyanpur aur High Take City jaisay maqamat mein kam Traffic nazar aa rahi hai is ke bar aks Kokatpally, Panjagutta, Begumpet jaisay ilaqay, Bowenpally ke qareeb Diamonds Pointe ki taraf janay walay chand ilaaqoun aur Secunderabad ke deegar ilaaqoun mein bohat si gadiyaan dekh rahay hain.

Begumpet, SP Road, Panjagutta, S.R Nagar, Ameerpet  aur hamsaaya ilaaqoun mein mutadid gadiyaan dekhi gayeen. Bohat se afraad biwi bachoun sameit, Sadkoun par safar karte huve Lockdown ki khilaaf warzi karte huve dukanoun aur deegar maqamat ki seer se lutaf andouz ho rahay they. Panjagutta Junction jahan Police ko somajiguda se Nagarjuna Circle ki taraf seedhi sadak ko band karna pada aur is ke bajaye Panjagutta Police Station ke qareeb se U-Turn ki ijazat dena padi, Khaas tor par raat aur subha ke awakhar mein Traffic ka bohat ziyada bahao dekhnay ko mila. Secunderabad mein Paradise Circle ek aur masrrof ilaqa hai.

Lockdown ke waqt mein sirf zurori samaan ki gadiyoun aur hungami khidmaat se wabasta afraad ko safar ki ijazat hai lekin hamein ye bhi pata chalta hai ke Motercycles ne tibbi hungami sorat e haal ka daawa kiya hai aur deegar be-qufana aur khair mantaqi wajohaat batatay huve sadkoun par ghoomna shuru kiya hai. Police Lockdown ke douran ghair zurori tor par baher anay waloun ke khilaaf muqadmaat darj kar rahi hai. Gadiyoun ko bhi zabt kiya ja raha hai. Abhi tak senkadoun gadiyaan zabt ki gayen. –YTN STAFF