Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaKaghzat na dekhnay MLA Arif Masood ki ghar ghar muhim

Kaghzat na dekhnay MLA Arif Masood ki ghar ghar muhim

Bhopal: Mutanazia Shehriat Tarmeemi Qanoon ke khilaaf Congress ke leader Arif Masood Bhopal mein kaafi sargaram hai jinhon ne CAA ke aaghaz se hi is ki mukhalifat karne ke alawa Madhya Pradesh hukoomat ko is kalay qanoon ke khilaaf sakht muaqqaf ikhtiyar karne ke liye musalsal dabao dal rahay hain aur ab unhoun ne kaghzat na dekhnay ke liye ghar ghar muhim shuru kar di hai.

Bhopal mein CAA, NRC aur NPR ke khilaaf Iqbal maidan mein Satyagraha pichlle 51 din se to jari hai aur ab isi douran doosri janib Bhopal central se Congress MLA Arif Masood ne kalay qanoon ke khilaaf awaami satah par baydaari muhim shuru kar di hai. Arif Masood ne Bhopal Jahangirabad ki dalit bastii Bapu Colony se apni muhim ka aaghaz kiya.

Arif Masood ke sath badi tadaad mein tamam tabqaat ke logoun ne shirkat ki aur shehriat tarmeemi qanoon ko mulk ke ayeen ke khilaaf qarar diya. Jab Congress MLA Arif Masood se poocha gaya ke soobah mein Kamal Nath ki qayadat mein Congress ki hukoomat hai aur CM Kamal Nath ke elaan ke bawajood NPR ke liye ohdedaroun ki tarbiyat jari hai to unhoun ne jawab diya ke is ka jawab to Chief Minister ku dena chahiye ke un ke elaan ke baad bhi tarbiyat kaisay jari hai, Jahan tak un ka talluq hai wo awam ke sath mil kar is siyah qanoon ke khilaaf har mahaz par tehreek chillatay rahen ge.

Bhopal Congress MLA Arif Masood ke zareya har roz Bhopal ke kisi muhallay mein NPR, NRC aur CAA ke khilaaf Poster taqseem karte huve awam ko beedar karne ka silsila jari rahay ga aur ye silsila Bhopal tak hi nahi balkay Madhya Pradesh ke tamam azlaa mein chalanay ka Congress MLA Arif Masood daawa karte hain.

Yaad rahay ke 2 mah qabal Arif Masood ne reyasti hukoomat ko bhi sakht alfaaz mein apne muaqqaf se waaqif karwa diya tha. Bhopal se muntakhib honay walay Congress ke rukan Assembly Arif Masood ne kaha tha ke agar Madhya Pradesh mein shehriat qanoon laago hota hai to wo Assembly ki rukniat se mustafi ho jaien ge. Unhoun ne kaha tha ke is qanoon ke tehat Pakistan, Bangladesh aur Afghanistan se anay walay ghair Muslim muhajreen ko hindustani shehriat dainay ki raah hamwar huvi.

Arif Masood ke bamujab maghribi Bengal ki Chief Minster Mamata Banerjee ne kaha ke awam ko shehriat qanoon ke barey mein fikar mand nahi hona chahiye. Kharagpur mein ek takreeb se khitaab karte huve Mamata Banerjee ne kaha tha ke hum aap ke sath hain. Jab tak hum yahan hain koi aap ko majaboor nahi kar saktha. Arif Masood ne is ka hawala dete huve kaha tha ke hamari Madhya Pradesh hukoomat ko bhi is qanoon ke khilaaf Mamata Banerjee ki himmat dikhani chahiye. –YTN STAFF