Tuesday, April 30, 2024
HomeHyderabadkabutaro aur deegar parindon ke sath selfie lainay walon ko intebah

kabutaro aur deegar parindon ke sath selfie lainay walon ko intebah

Hyderabad: Mulk bhar mein bird flu ke khofnaak soorat-e-haal ke  Darmiyan Telangana ke shehrion ko mashwara diya gaya hai ke woh kabutaro ko na khana khilain aur nah hi  parindoun ke sath Selfies len halaanke Telangana mein bird flu ka koi suraagh nahi mil saka hai, lekin yeh virus riyasat ke parindon mein muntaqil honay walay parindon ki wajah se phail sakta hai lehaza  mahireen ne awam ko mashwara diya hai ke woh aglay do mahino tak ahteyati tadabeer ikhtiyar karen.

Hyderabad ke girde-nawahi ilaqon  may lakhoun kabootar hain. naqal makani  karne walay parinday muqami parindon ko virus se mutasir kar saktay hain. kabutaro ko dana daalna bohat se logon ka mehboob mashgala hai. kuch shehrion ne kabutaro aur dosray parindon ke sath selfie lainay ki aadat  banali hai aur  agar kabutaro ka ek group back waqt parwaaz ke liye udtay hain to awam ke liye yeh tasweer kashi ke liye ek shandaar mauqa hota hai isi mauqa ki talaash mein log kabutaro ka dana daaltay hain.

Is manzar mein kabootar apne paron se dhool ke bohat zarraat nikaltay hain. Agar kabutaro mein se koi bird flu se mutasir ho to, insaan is virus se mutasir hosakta hai.

Animal virus conservation society ke rehnuma Sanjay Sharma ne kaha hai ke parindon aur janwaron ki hifazat mein masroof mehakma janwaron ke paalne walay mehakma, greater hyderabad municiple cooperation ( GHMC ) aur deegar tanzeemon ke ohdedaron ko mutadid shikayaat masool hui hain jo apne gharon ke qareeb parindon ke marnay ki ittila dete hain jis  ki tafteesh ki jati hai.

Unhon ne kaha ke riyasat mein kahin bhi bird flu ka koi saboot  nahi mila hai. Professor jaya Shankar university of agriculture ( Parindon ke shoba ) ke principal science daan ne awam  ko kabutaro ke grohoon ke qareeb nah jane ka mashwara diya. unhon ne awam  ko yeh bhi mashwara diya ke darakhton ke neechay panah nah len jo bohat se parindon ka ghar hai kyunke is se bhi parindon ke  virus ho sakta hai.