Kabul: Afghanistan cricket board ke ek sarbarah farhan Yousufzai kabul mein naye stadium ke liye araazi haasil karne ke baad mustaqbil qareeb mein bain ul aqwami muqablay mulk mein munaqqid karne ke liye pur etemad hain.
Afghanistan ne apne gharelo muqablay ab tak Hindustan mein khailay hain. Afghanistan ke sadar Mohammad Ashraf ghani ne ek jadeed tareen stadium ki taamer ke liye kabul ke ilaqay al-khail mein 2 acre se ziyada araazi mukhtas ki. Is ground ki taamer se, hum bain ul aqwami cricket ki maizbani kar sakenge aur hamaray log dar-ul-hakoomat kabul ke wast mein apne ground mein bain ul aqwami khiladion ko khailtay hue dekhenge. Yeh jung zada mulk ki bain ul aqwami cricket matchon ki maizbani shuru karne ki justojoo mein ek ahem pesh raft hai.
Kabul ek jadeed tareen bain ul aqwami cricket stadium ka ghar hoga. Mein sadar ka khusoosi shukriya ada karta hon jinhon ne hamesha cricket ki taraqqi ki himayat ki aur hamaray khiladion ki hosla afzai ki. Ibtidayi rasmi karwaiyon ke baad stadium ki taamer ka kaam bhi shuru hojayega aur hum is ko behtareen miyaar ke sath anjaam dainay ko yakheeni banayenge. Report ke mutabiq stadium mein ek five star guest house, ek mayaari swimming pool, Indoor-outdoor academies, Health Clinic, masjid, car parking, intizami block aur is terhan ki deegar sahuliyaat shaamil hongi. Stadium mein 35,000 shaiqeen ke baethnay ki gunjaish hogi.
Chand saal qabal ICC se mukammal rukniat haasil karne ke baad se Afghanistan ne apne tamam home matches Hindustan jis mein ziyada tar dehradun aur greater noida mein hi khailay hain lekin ab maidan ki taamer ke baad Afghanistan ki maizbani mein bain ul aqwami muqablon ka ineqad yakheeni hoga.