Thursday, May 16, 2024
HomeIndia"Kab ke bichdhe aaj aake mile" , 24 baras baad Mulayam singh...

“Kab ke bichdhe aaj aake mile” , 24 baras baad Mulayam singh aur Mayawati ek hi stage par

Mainpuri : Uttar pardesh ka Mainpuri  zila aaj hindustani siyasat mein taqriban 24 barson tak ek  dosray ke kattar hareef rahay Samaaj Waadi Party ( SP ) ke baani Mulayam singh  yadav aur Bahujan Samaaj Party (BSP ) ki sarbarah Mayawati ke ek hi stage par anay ka manzar paish kar raha tha .

1995 mein Uttar pardesh ki siyasat mein hungama barpaa kardainay walay guest house waqea ke baad yeh pehla mauqa tha jab yeh dono leaders ek hi stage par aaye. is tareekhi waqea ka gawah ban’nay ke liye Ground mein hazaron log mojood the.

Wazeer-e-Azam Narendra Modi ki qayadat wali BJP ko markaz mein hukoomat se be dakhal karne ke iraday se SP, BSP ki mushtarka Rally mein SP ke sadar Akhilesh Yadav, Mayawati ke bhateejay Akash Anand aur BSP  ke general secretary Satish Chandar Mishra sameit kayi ahem rehnuma mojood they, is mauqa par Manipuri se SP ke umeed waar Mulayam singh  Yadav nay jalse aam mein BSP  sarbarah ka shukriya ada kiya  jab ke stage par MR. Mulayam singh  ke atay hi Mayawati nay khaday hokar unka istaqbaal karte hue wazeh paegham diya .

BSP  sadar nay apni taqreer mein guest house waqea ka zikar karte hue kaha 2 June 1995 ko guest house waqea ke baad bhi lok sabha election mein ittehaad ka jawab aap sabhi chahtay honge. Guest House waqea ke baad bhi SP, BSP  ittehaad hua kabhi kabhi mulk ke mafaad mein aisay faislay karne parte hain. hum firqa parast taqaton ko roknay ke liye ek  sath aeye hain. mein aap logon se appeal karti honke Mulayam singh  Yadav ko vote den .

Mayawati nay kaha ke Wazeer e Azam Narendra Modi farzi pasmandah hain. jab ke Mulayam singh  asli pasmandah hain. unhon nay pasmandah tabqaat ki taraqqi ke liye bohat kaam kiya  hai. Modi 2014 mein naqli pasmandah ban kar Wazeer e Azam ban gaye aur logon ko jhutay wadon mein phansa liya. unhon ney awam se jo waday kiye they un mein se pachees feesad bhi poorey nahi kiye. 2014 mein unhon nay kaha tha ke beirooni mumulk se kala dhan lakar ghareebon ko pandrah pandrah laakh rupay diye jayen ge. paanch saal ki muddat poori hogayi hai aur kisi ke khatay mein ek  rupiya bhi nahi aaya .

unhon nay kaha ke Wazeer e Azam Modi ke jhutay wadon ki tarha congress bhi ghareebon ko NYAY scheme ke tehat 72 hazaar rupay salana dainay ka jhoota wada kar rahi hai. agar aap SP BSP  ittehaad ki hukoomat markaz mein banayenge to woh Congress aur Narendra Modi ki tarha jhutay waday karkay logon ke khatay mein rupay bhejnay ka kaam nahi kere gi balkay sarkari aur ghair sarkari shobo mein nojawanon ko rozgaar dainay ka kaam karegi. jis se iqtisad ya halaat behtar honge .

BSP  sadar nay rally mein zabardast hujhoom ko dekhte hue josh mein kaha ke Wazeer e Azam nay Meerut ke jalsa mein ittehaad ko saraab kaha tha jo kay durust lafz bhi nahi hai. sharaab ko saraab bolnay walay Narendra Modi aaj Manipui ki rally ko dekhen ke log kitney nashay mein hain. inhen sharaab ka nahi ittehaad ka nasha hai aur yeh BJP hukoomat ko hata kar hi dam lenge .

Mayawati nay Akhilesh yadav ko  Mulayam singh  yadav ka wahid waris qarar dete hue kaha ke unhoun nay Mulayam singh  Yadav ki wirasat ko bakhoobi sambhala hai. BJP ke sath congress par bhi shadeed tanqeed karte hue kaha ke azaadi ke baad congress nay sab se ziyada waqt mulk aur shoboun par hukoomat ki lekin congress ki ghalat policies ki wajah se mulk ke kisanon, ghareebon, pasmandah aur aqliton ki taraqqi nahi hui .

BSP  sarbarah nay kaha ke 2019 ke lok sabha election mein awam Wazeer e Azam Narendra Modi ke jaal mein nahi aayegi. awam naqli chowkidaar ko himayat nahi day gi aur nah hi unke jumlon mein phansay gi. BJP reyaston ke intikhabaat mein shikast se do-char hui aur lok sabha ka election bhi hare gi .

Mayawati nay Mulayam singh  Yadav ko kamyaab bananay ki appeal karte hue kaha ke mulaem nay Mainpuri  ke liye bohat kuch kiya  hai aur sahet theek nahi honay ke bawajood election lad rahay hain. jab tak unke jism mein saans hai tab tak woh Mainpuri ki taraqqi ke liye kaam karte rahenge. sab log mil kar Mulayam singh  yadav ko tareekhi fatah se humkenar karayen .

Is se qabal SP ke baani Mulayam singh Yadav nay jazbati appeal karte hue kaha yeh hamara aakhri election hai. Mainpuri se mujhe bhaari aksariyat se kamyaab bana dena. Mayawati jee ka hum ehtram karte hain. aap sab bhi karna. unka bohat ehtram karna aap log. mein unka ahsaan kabhi nahi bholoonga. aap log unki izzat karna .

Is mauqa par SP ke sadar Akhilesh Yadav nay Wazeer e Azam Narendra Modi par tanqeed karte hue kaha ke Modi raaj may kisan ghumzdaa hain. khad mein chori ki jarahi hai. kisanon ke sath dhoka hua hai. unke paison ki chori ki gayi. kisanon ko milnay wali khad ki bori mein se bhi BJP nay paanch kilo ki chori karli. BJP kehti hai ke naya Bharat banana hai jab ke ittehaad kehta hai ke ab mulk mein naya Wazeer e Azam banana hai. noujawanon ke hathon mein hi is ki kamaan hai .

BSP  ki sarbarah Mayawati ka shukriya ada karte hue MR Yadav nay kaha Mayawati jee ke tawaun se hum sabhi log aur Mainpuri ki awam Neeta jee ( Mulayam ) ko tareekhi fatah se Humkanar karwaeinge. unhon nay kaha ke Jamuna Expressway SP aur BSP  ki deen hai. Dial 100 number ko kharab kardiya. beemari lag gayi. Chai walay ban kar aeye paanch saal baad pata chala ke Chai kaisi thi. ab chowkidaar ban rahay hain. awam unki chowkhi chean legi. Mayawati nay durust kaha hai ke woh sirf Dastaweezoun mein pasmandah hain jab ke hum pedaishi pasmandah hain . –YTN STAFF