Monday, April 21, 2025
HomeIndiaKaale Dhan ki wapsi ke naam par ghareeb ko pareshan nah karo

Kaale Dhan ki wapsi ke naam par ghareeb ko pareshan nah karo

New Delhi: Parliament ke pehlay ijlaas se Sadar Jamuriya Hind Ram Nath Kovind ney apne pehlay sadaarti bayan mein Kaale Dhan aur budunwani par rok ke mozuaat par baat ki hai. Saddar ney Kaale Dhan aur badunwanyon par lagaam kasnay ki baabat hukoomat ke azaim ko dhurate huwe apne sadaarti khutba mein kaha ke is muhim ko aur taiz kiya jaye ga.Kovind  ney parliament ke dono aiwanon ke mushtarqa ijlaas mein apne khitaab mein kaha ke hukoomat Mulk mein badunwani roknay ke liye paband ehad hai aur is simt mein mutadid qadam uthae gaye hain. Mulk ko yaqeen dilaya ke Kaale Dhan ke khilaaf shuru ki gayi muhim aur taiz raftaar se agay badh jaye gi. Unhon ney kaha ke Kaale Dhan ke ziman mein ab 146 Mulk se maloomat haasil ho rahi hai, jis mein Switzerland bhi shaamil hai. Un mein se 80 Mumalik aisay hain jin se hamari maloomat ke khudkaar tareeqay se tabadlah karne ka bhi mohaida huwa hai. Jin logon ney beron Mulk Kaala Dhan jama kar khahe, ab hamein un sab ki maloomat haasil ho rahi hai.

Saddar Jamuriya Hind ke is sadaarti khutba ke baad aam log pareshani mein mubtela hogaye hain kyunkay do saal pehlay Kaale Dhan ke naam par awam ko ghanton Bankon ki kitaron mein khaday rehne ki museebatein bardasht ki hain. Hindustan mein Kaala Dhan un paison ko kaha jata hai jo chor bazaar mein kamaye jatay hain aur un par ayed honay walay mehsool aamdani aur deegar aqsam ke mehsool ada nahi kiye jatay. Hindustani shehrion ki janib se beron Mumalik ke bankon mein jama ki gayi raqam ki majmoi tadaad namaloom hai. Baaz reports mein Switzerland mein jama shuda raqam ki kal qeemat 50 trilion Amrici dollar batayi jati hai. Jabkay andaza lagaya jata hai ke Kaale Dhan ka hajam taqreeban 7,280,000 crore rupay hai. Taham hukoomat switzerland Swiss Bank Assocation ki reporton ke mutabiq raqum ki yeh tadaad ghalat hai aur durust tadaad do billion Amrici dollor hai.

Kaale Dhan ke khilaaf kadayi ke bayan ney hindustaniyon mein aik qisam ka khadsha peda kardiya hai kyunkay woh do saal pehlay bhi Kaale Dhan ki Mulk wapsi aur ghareebon ke masail daur honay ke naam par shadeed masail bardasht kar chukay hain. 8 November 2016 ko jab saari duniya ki nazar Amrici intekhabaat par markooz thi to isi waqt Wazeer e Azam Modi ney TV par aakar yeh elaan kar diya ke 500 aur 1000 rupiye ke note ko khatam kar diya ja ye ga. Wazeer e Azam ney yeh bhi kaha ke aisa karna bohat zurori tha kyunkay is se Hindostan mein Kaale Dhan ka khatema hoja ye ga. Is elaan se pooray Mulk mein afratafri phail gayi. Social Media par dhara dhar logon ke pegham post kiye janay lagey. Koi Modi ki sataish kar raha tha to koi un ke elaan par herani ka iszaar kar raha tha. Dekhte hi Dekhte pooray Mulk mein aik ajeeb o ghareeb mahol ban gaya. Bankon ke bahar lambi lambi qatarain lagnay lagen aur logon mein pareshani ke sath sath gussa bhi paaya jana laga. Lekin jayse jayse waqt beet raha tha Malik mein afratafri aur badhti jarahi thi.

Bartania ke ilawa duniya ke tamam akhbarat mein Wazeer e Azam ke is elaan par herani ke ilawa aam logon ki pareshaniyon ke barey mein tabsarah kiya gaya hai aur Modi ke elaan ko aik heran kin qadam bata ya gaya hai. Ziyada tar Hindustani jo Hindustan se bahar rehtay hain unhon ney Wazeer e Azam ke is qadam ko kaafi saraha aur woh maana ke Wazeer e Azam ka yeh qadam un ke intekhabaat ke is waday ke mutabiq hai jis mein unhon ney elaan kya tha ke hukoomat ban’nay ke andorn 100 din Kaala Dhan ko Mulk mein wapas laa yin ge. Ziyada tar hindustniyon ko Wazeer e Azam Modi ke bhashan aur zordar taqreer ney apna garweedah bana rakha hai. Is liye woh Modi ke har faislay par sirf wah wah hi karte nazar atay hain aur Hindostan ko aik Hindu Rashtra ban’nay ka khawab dekh rahay hain lekin Modi ki neend tab haraam hogayi jab lakhoon hindustani bankon ke bahar saaray din khaday apni baari ka intejar karte huwe nazar aeye aur pooray Mulk mein afratafri ka manzar paaya janay laga.

Is ke ilawa aam logon mein kaafi gussa bhi ubharnay laga tha. qataar mein khaday aam aadmi keh rahay they ke kya yahan koi bhi aadmi un kataron mein Kaala Dhan wala dikh raha hai? phir moodi achanak hum rozana mazdoori karne walon ko kyon preshan kar rahay hain? Is ke alawa Mutadid shehron mein hajhoom be qaboo honay ki wajah se awam ko Police ney be rehmi se pataayi bhi ki. Is douran kayi maqamat par lambi lambi kitaron mein khaday honay se kayi logon ki jaan bhi chali gayi lekin Modi jee apni anaa aur hatt dharmi par datay rahay aur hadd to tab hogayi jab Goa ki aik taqreeb mein Modi apni chhaati dikhata huwe aam hindistaniyon ki shadi, bemaar logon aur awam ki takleef ka mazaq uratay huwe jalsa gaah mein mojood logon ki wah wah hi looti thi.

Hukumat ke tarjuman Television par aakar Wazeer e Azam ke qadam ko aik tareekhi aur misali qadam bata rahay they aur daawa kar rahay hain ke aisa karna bohat zurori tha. Mulk mein logon ney Kaala Dhan chupa rakha hai aur jis se aam aadmi aur Mulk ki maeeshat ko kaafi nuqsaan pohonch raha hai. Jab yeh sawal poocha jata ke 500 rupiye aur 1000 rupiye ke note par pabandi laga dainay aur back waqt 2000 rupiye ke note jari kar ke Kaala Dhan kaisay khatam hoga? to tarjuman kehte hain ke is ka nateeja jald manzar aam par aayega aur is mein kuch waqt lagey ga lekin do saal se ziyada waqt guzar jane ke bad bhi Kaala Dhan nahi aaya. Jab Wazeer e Azam ney 500 rupiye aur 1000 rupiye ke note par pabandi ka elaan kiya tha to unhon ney chand dinon ki mohlat mangi thi. Baad mein unhon ney apni aik taqreer mein logon se pachaas din ki mohlat ki maang karne lagey jis se logon mein tashweesh aur badh gayi. Wazeer khazana ki shakal par hawayeen udh  ti dekhi gayi jis ki aik wajah shayad un ko khud is baat ka pata nahi tha ya woh is baat se ghaafil they. Aur kahe bhi to becharay kiya kahe kyunkay pani to ab sir se opar beh raha tha.

Waisay bhi is waqt ke Wazeer Khazana Arun Jaitley Kaale Dhan ke muamlay mein master stroke maney jatay they tabi MP Kirti Azad azad ko BJP Party se Nikaal diya gaya. Kirti Azad ka qasoor yeh tha ke unhon ney Arun Jailtley par dhandli ka ilzaam laga ya tha. Wazeer e Azam ke is ehmaqana qadam aur is ke hawalay se chand ahem bateen sab ko yaad hi hain. Yun to hukoomat is baat ko nahi bata payi hai ke Mulk mein aakhir kitna Kaala Dhan hai lekin aisa andaza lagaya ja raha ke is ki ginti karna asan nahi hai. Jis ki aik wajah jaali note bhi hai jo bazaar mein aam dastiyab hai. Hukoomat ney bank ko yeh Hidayat di thi ke agar koi bhaari miqdaar mein 500 rupiye aur 1000 rupiye ke note le kar aeye to is se pooch teach ki jaye aur Income Tax ko is ki ittela di jaye. Waisay ziyada tar log bank ke bahar 500 rupiye aur 1000 rupiye ke chand hazaar note hi le kar Pareshan haal they lekin un tamam baton se aam aadmi yeh nahi samajh parha tha ke lambi lambi kitaron mein din bhar khaday ho kar noton ke exchange karwney se Kaale Dhan kaisay khatam hojayiga.

Ttaa hum is ke Bar aks log yeh khete rahay ke Wazeer e Azam ki is ehmaqana harkat se aam aadmi ka jeena haraam hogaya. Un ke gharon mein cholhe nahi jal rahay they. Kisi ki beti ki shadi hona nah mumkin hogaya hai to kahin koi bemaar apni ilaaj se mayoos ho kar Modi ko kos raha tha. Aakhir yeh kon log hain jo lambi lambi kitaron mein khaday aisi bateen keh rahay they. Kya yeh log kisi khaas siyasi party ke haami they? jee nahi yeh hindostan ka aam aadmi tha jo rozana kaam kar ke apni aur apne khandan ki zindagi guzaar raha tha. Un mein shayad ziyada tar woh log bhi hain jinhon ne Wazeer e Azam ki dhuwan dhaar taqreer sun kar kuch lamhoon ke liye apne hosh o hawaas ganwa kar aik umeed ke tehat Modi ko vote diya tha. Is baat ke liye vote diya tha ke ab woh aik naye Hindostan mein aik nai aur achi zindagi guzaray ga jis ka Modi ney baar baar wada kiya tha.

Moodi hukoomat ney apni pehli miyad mein Kaale Dhan ke khilaaf jo hikmat almi ikhtiyar ki thi is se Kaala Dhan to wapas aaya nahi balkay is se sirf aur sirf awam aadmi hi masail ka shikaar huwa aur Bankon ke samnay taweel kataron mein be chaaray kayi ghareeb aadmi apne hi chand rupiyon ke husool ke liye apni jaanun ki qurbani di hai agar hukoomat ka is martaba bhi Kaale Dhan ke khilaaf aisi hi kisi karwai ka iradah hai to hukoomat se iltija hai ke woh Kaale Dhan ke khilaaf koi karwai nah kere kyun kay Kaale Dhan ki wapsi ke baghair hi Hindustan ka ghareeb khush hai.