Monday, April 21, 2025
HomeSliderKaaba ka ghilaaf 3 Meters oopar utha diya gaya

Kaaba ka ghilaaf 3 Meters oopar utha diya gaya

Riyadh: Masjid Al Haram ki intizamia ne naye Hajj mausam par khilaf Kaaba ka nichala hissa oupar utha diya hai. Har baras ki terhan is saal bhi ye karwai Masajid Al Haram aur Masjid Nabwi entezamia ke sarbarah alla Abdul Rahman Al-Sudais ki zair nigrani mukammal ki gayi. Saudi khabar-rasan idaray SPA ke mutabiq Masjid Ul Haram ki intizamia ne taqreeban 3 meter tak ghilaaf Kaaba oopar kiya hai jabkay charoun janib se 2 Meter choday safaid cotton ke kapday se uthaye gaye ghilaaf Kaaba ko dhak diya gaya.

Ghilaaf Kaaba uthany ki karwai mein ghilaaf Kaaba Factory ke 50 hunar mando ne hissa liya. Ye sab karkun is kaam ke maahir hain. Yaad rahay ke ghilaaf Kaaba Ramadan aur Hajj ayyaam mein oopar uthaya jata hai. Ghilaaf Kaaba 3 meter tak uthany ki karwai is liye ki jati hai taakay Hajj ke douran ghilaaf Kaaba ko nuqsaan nah puhanche. Is saal bohat kam tadaad mein Hajj hon ge is iqdaam ka bunyadi maqsad zaireen ko Novel Coronavirus lagnay se bachana hai. Hajj ayyaam khatam hotay hi ghilaaf Kaaba ko sabiq maqam mein bahaal kar diya jaye ga.