New Delhi. Justice Ranjan Gogoi ney 46th Chief Justice of India ki haisiyat se ohda ka halaf liya. Woh Justice Deepak Misra ke janasheen hoon ge jo 1st October ko subukdosh huwe hain. Sadar e jamhooria Ram Nath Singh Koind ney Rashtrapati Bhavan mein Justice Gogoi ko ohda ka halaf dilaya. Wazeer e Azam Hind Narendra Modi, Speaker Lok Sabha Sumitra Mahajan, wazeer e dakhila Rajnath Singh, wazeer finance Arun Jetli, sabiq wuzraye azam Dr. Manmohan Singh aur HD Devegoda aur deegar Rashtrapati Bhavan ke Darbaar Hall mein munaqidah taqreeb mein shareek thay. 63 sala Justice Ranjan Gogoi shumal mashriqi khitta se talluq rakhney walay pahelay Chief justice of India hain. Woh is ohda par sirf 13 mah tak hi fayez rahen ge aur 17th November 2019 ko subukdosh ho jaien ge. Justice Gogoi naram go aur sakht judge ki haisiyat se jane jatay hain. Woh un chaar jajon mein shaamil thay jinhon ney Cheif Justice Misra par aik press conference mein tanqeed ki thi aur Supreme Court ke master of roster ke taur par cases ki Judges ko supurdagi mein apne role ka ghalat istemaal karne ka ilzaam aayed kiya tha. Justice Gogoi 18th November 1954 ko paida huwe aur 1978 mein advocate ki haisiyat se apna indraaj karwaya tha. Unhon ney Gowhati High Court mein Constitution, Taxation aur Company Affirs par practice ki thi. Inhen 28th Feb 2001 ko Gowhati High Court ka mustaqil judge muqarrar kiya tha aur 9th September 2010 ko un ka Punjab & Haryana High Court tabadlah kiya gaya tha. Justice Gogoi 12th Feb 2011 ko Punjab o Haryana High Court ke Chief Justice muqarrar kiye gaye aur 23rd April 2012 ko Supreme Court ke judge ki haisiyat se taraqqi paye.